SEARCH RESULTS
Showing search results for "iiqaan"
Sher MATCHES FOR "iiqaan"
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
ab judaa.ii ke safar ko mire aasaan karo
tum mujhe KHvaab me.n aa kar na pareshaan karo
Munawwar Rana
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Munawwar Rana
Sher
shaaKHo.n se TuuT jaa.e.n vo patte nahii.n hai.n ham
aa.ndhii se ko.ii kah de ki auqaat me.n rahe
Rahat Indori
Sher
bas-ki dushvaar hai har kaam kaa aasaa.n honaa
aadmii ko bhii muyassar nahii.n insaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
sau chaa.nd bhii chamke.nge to kyaa baat banegii
tum aa.e to is raat kii auqaat banegii
Jan Nisar Akhtar
Sher
Allama Iqbal
Sher
kitnaa aasaa.n thaa tire hijr me.n marnaa jaanaa.n
phir bhii ik umr lagii jaan se jaate jaate
Ahmad Faraz
Sher
hoshiyaarii dil-e-naadaan bahut kartaa hai
ra.nj kam sahtaa hai elaan bahut kartaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
tum se chhuT kar bhii tumhe.n bhuulnaa aasaan na thaa
tum ko hii yaad kiyaa tum ko bhulaane ke liye
Nida Fazli
Sher
zaahid sharaab piine se kaafir hu.aa mai.n kyuu.n
kyaa De.Dh chulluu paanii me.n iimaan bah gayaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Parveen Shakir
Sher
ha.ns ke farmaate hai.n vo dekh ke haalat merii
kyuu.n tum aasaan samajhte the mohabbat merii