SEARCH RESULTS
Showing search results for "kashish-e-mauja-e-raftaar"
Sher MATCHES FOR "kashish-e-mauja-e-raftaar"
Sher
chaltii to hai par shoKHii-e-raftaar kahaa.n hai
talvaar me.n paazeb kii jhankaar kahaa.n hai
Kalb-e-husain Nadir
Sher
haa.e zanjiir-shikan vo kashish-e-fasl-e-bahaar
aur zindaa.n se nikalnaa tire diivaane kaa
Riyaz Khairabadi
Sher
mauja-e-ashk se bhiigii na kabhii nok-e-qalam
vo anaa thii ki kabhii dard na jii kaa likkhaa
Hasan Naim
Sher
hai irtibaat-shikan daa.ero.n me.n baT jaanaa
chaman kaa mauja-e-baad-e-sabaa se kaT jaanaa
Syed Amin Ashraf
Sher
na jaane kaisii mahruumii pas-e-raftaar chaltii hai
hamesha mere aage aage ik diivaar chaltii hai
Aziz Nabeel
Sher
ujaale garmii-e-raftaar kaa hii saath dete hai.n
baseraa thaa jahaa.n apnaa vahii.n tak aaftaab aayaa
Shakeel Badayuni
Sher
apnii apnii gardish-e-raftaar puurii kar to le.n
do sitaare phir kisii din ek jaa ho jaa.e.nge
Arzoo Lakhnavi
Sher
ab na vo shorish-e-raftaar na vo josh-e-junuu.n
ham kahaa.n pha.ns ga.e yaaraan-e-subuk-gaam ke saath
Ali Jawad Zaidi
Sher
tamaam umr tirii ham-rahii kaa shauq rahaa
magar ye ranj ki mai.n mauja-e-sabaa na hu.aa
Zaheer Kashmiri
Sher
KHud-ba-KHud apnaa janaaza hai ravaa.n
ham ye kis ke Kushta-e-raftaar hai.n
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
Goya Faqir Mohammad
Sher
us ke kuuche me.n sadaa mujh ko nazar aataa hai
bast-e-zulf ko.ii rafta-e-raftaar ko.ii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
us kii pa.Dii na aa.nkh KHat-o-KHaal par tire
kabk-e-darii to rafta-e-raftaar hii rahaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ai mauj-e-havaadis tujhe maaluum nahii.n kyaa
ham ahl-e-mohabbat hai.n fanaa ho nahii.n sakte
Asad Bhopali
Sher
ai mauj-e-KHush-KHiraam zaraa tez tez chal
bantii hai sat.h-e-aab kinaara kabhii kabhii