SEARCH RESULTS
Showing search results for "mandiro.n"
Sher MATCHES FOR "mandiro.n"
Sher
girjaa me.n mandiro.n me.n azaano.n me.n baT gayaa
hote hii sub.h aadmii KHaano.n me.n baT gayaa
Nida Fazli
Sher
dilo.n ko tere tabassum kii yaad yuu.n aa.ii
ki jagmagaa uThe.n jis tarah mandiro.n me.n charaaG
Firaq Gorakhpuri
Sher
na manzilo.n ko na ham rahguzar ko dekhte hai.n
ajab safar hai ki bas ham-safar ko dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
mai.n abhii se kis tarah un ko bevafaa kahuu.n
manzilo.n kii baat hai raaste me.n kyaa kahuu.n
Nushur Wahidi
Sher
charaaG ghar kaa ho mahfil kaa ho ki mandir kaa
havaa ke paas ko.ii maslahat nahii.n hotii
Waseem Barelvi
Sher
dekhuu.n tire haatho.n ko to lagtaa hai tire haath
mandir me.n faqat diip jalaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
logo.n ne aaraam kiyaa aur chhuTTii puurii kii
yakum may ko bhii mazduuro.n ne mazduurii kii
Afzal Khan
Sher
Bashir Badr
Sher
Kamil Akhtar
Sher
Allama Iqbal
Sher
Noor Taqi Noor
Sher
mandir bhii saaf ham ne kiye masjide.n bhii paak
mushkil ye hai ki dil kii safaa.ii na ho sakii
Tilok Chand Mahroom
Sher
kabhii mandir kabhii masjid pe hai is kaa baseraa
dharam insaaniyat kaa bas kabuutar jaantaa hai