SEARCH RESULTS
Showing search results for "me.araaj-e-khirad"
Sher MATCHES FOR "me.araaj-e-khirad"
Sher
tasliim hai sa.aadat-e-hosh-o-KHirad magar
jiine ke vaaste dil-e-naadaa.n bhii chaahiye
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
ab mai.n huduud-e-hosh-o-KHirad se guzar gayaa
Thukraa.o chaahe pyaar karo mai.n nashe me.n huu.n
Ganesh Bihari Tarz
Sher
roz aapas me.n la.Daa karte hai.n arbaab-e-KHirad
ko.ii diivaana ulajhtaa nahii.n diivaane se
Anwar Sabri
Sher
ahl-e-KHirad ise na samajh paa.e.nge 'faqiih'
kuchh mas.ale hai.n maavaraa fat.h o shikast se
Ahmad Faqih
Sher
lab-e-KHirad se yahii baar baar niklegaa
nikaalne hii se dil kaa Gubaar niklegaa
Kalidas Gupta Raza
Sher
vahm o KHirad ke maare hai.n shaayad sab log
dekh rahaa huu.n shiishe ke ghar chaaro.n or
Saleem Shahzad
Sher
ai KHirad-mando mubaarak ho tumhe.n farzaangii
ham ho.n aur sahraa ho aur hairat ho aur diivaangii
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
mushaahida hai ki ahl-e-KHirad hu.e paspaa
jahaa.n bhii ahl-e-junuu.n se muqaabla Thahraa
Naim Hamid Ali
Sher
gesuu-e-taabdaar ko aur bhii taabdaar kar
hosh o KHirad shikaar kar qalb o nazar shikaar kar
Allama Iqbal
Sher
ahl-e-KHirad ko aaj bhii apne yaqiin ke liye
jis kii misaal hii nahii.n us kii misaal chaahiye
Saleem Kausar
Sher
tadbiir ma.aash is jaa hai shart-e-KHirad-mandii
insaan nahii.n ginte ham 'mus.hafii' kaa.er ko
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
diivaana-e-khirad ho ki majnuun-e-ishq ho
rahnaa hai us ko chaak-garebaa.n kiye hu.e
Razi Raziuddin
Sher
ham ba.De ahl-e-KHirad bante the ye kyaa ho gayaa
aql kaa har mashvara diivaana-pan lagne lagaa
Irfan Siddiqi
Sher
jo raah ahl-e-KHirad ke liye hai laa-mahduud
junuun-e-ishq me.n vo chand gaam hotii hai
Ravish Siddiqi
Sher
dasht-e-junuu.n se aa ga.e shahr-e-KHirad me.n ham
dil ko magar ye saaneha achchhaa nahii.n lagaa
Khalid Mubashshir
Sher
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
ahl-e-KHirad ko sau.np na duniyaa kii baag-Dor
kaar-e-zamaana ahl-e-junuu.n ko sa.nbhaal de