SEARCH RESULTS
Showing search results for "munkir-e-but"
Sher MATCHES FOR "munkir-e-but"
Sher
kyuu.n ujaa.Daa zaahido but-KHaana-e-aabaad ko
masjide.n kaafii na hotii.n kyaa KHudaa kii yaad ko
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
saare-jahaa.n me.n qisse ye mash.huur ho ga.e
bhaa.ii hamaare munkir-e-dastuur ho ga.e
Daood Mohsin
Sher
Iftikhar Arif
Sher
mujh ko ka.aba me.n bhii hamesha shaiKH
yaad-e-ayyaam-e-but-parastii thii
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Quli Qutub Shah
Sher
mehraab-e-aabruu-e-but-e-kaafir-adaa ko dekh
ka.aba kaa shaiKH baa.ndh ke ehraam rah gayaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
ai but ye hai namaaz ki hai ghaat qatl kii
niyyat adaa kii hai ki ishaare qazaa ke hai.n
Muneer Shikohabadi
Sher
ab kaun phire kuu-e-but-e-dushman-e-dii.n se
allaah ke ghar kyuu.n na chale jaa.e.n yahii.n se
Muztar Khairabadi
Sher
shikva sun kar jo mizaaj-e-but-e-bad-KHuu badlaa
ham ne bhii saath hii taqriir kaa pahluu badlaa
Bekhud Badayuni
Sher
taariif roz lete ho apne Guruur kii
mujh ko barahman-e-but-e-pindaar kar diyaa
Muneer Shikohabadi
Sher
dekh pachhtaa.egaa o but mire tarsaane se
uTh ke ka.abe ko chalaa jaa.uu.ngaa but-KHaane se
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
ka.aba o but-KHaana aarif kii nazar se dekhiye
KHvaab dono.n ek hii hai.n farq hai ta.abiir me.n
Nazm Tabatabai
Sher
Ameer Minai
Sher
apnii marzii to ye hai banda-e-but ho rahiye
aage marzii hai KHudaa kii so KHudaa hii jaane
Baqaullah 'Baqa'
Sher
KHudaa gavaah hai mai.n shaGl-e-but-parastii me.n
sivaa.e ishq kisii kaam se nahii.n vaaqif