SEARCH RESULTS
Showing search results for "murgo.n"
Sher MATCHES FOR "murgo.n"
Sher
suuraj ko cho.nch me.n liye murGaa kha.Daa rahaa
khi.Dkii ke parde khii.nch diye raat ho ga.ii
Nida Fazli
Sher
piir-e-muGaa.n ke paas vo daaruu hai jis se 'zauq'
naamard mard mard-e-javaa.n-mard ho gayaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
kuchh aisii pilaa de mujhe ai piir-e-muGaa.n aaj
qai.nchii kii tarah chalne lagii merii zabaa.n aaj
Aagha Akbarabadi
Sher
qadr mujh rind kii tujh ko nahii.n ai piir-e-muGaa.n
tauba kar luu.n to kabhii mai-kada aabaad na ho
Riyaz Khairabadi
Sher
misaal ye mirii koshish kii hai ki murG-e-asiir
kare qafas me.n faraaham KHas aashiyaa.n ke liye
Mirza Ghalib
Sher
kaisaa ajiib aayaa hai is saal kaa bajaT
murGii kaa jo bajaT hai vahii daal kaa bajaT
Khalid Irfan
Sher
piir-e-muGaa.n se ham ko ko.ii bair to nahii.n
tho.Daa saa iKHtilaaf hai mard-e-KHudaa ke saath
Abdul Hamid Adam
Sher
Sarfaraz Shahid
Sher
saaqii vo KHaas taur kii ta.aliim de mujhe
us mai-kade me.n jaa.uu.n to piir-e-muGaa.n rahuu.n
Muztar Khairabadi
Sher
ik jaam-e-mai kii KHaatir palko.n se ye musaafir
jaarob-kash rahaa hai barso.n dar-e-muGaa.n kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kaise hai.n KHaanqaah me.n arbaab-e-KHaanqaah
kis haal me.n hai piir-e-muGaa.n dekhte chale.n
Makhdoom Mohiuddin
Sher
shab vasl kii bhii chain se kyuu.nkar basar kare.n
jab yuu.n nigaahbaanii murG-e-sahar kare.n
Shefta Mustafa Khan
Sher
Abdul Majeed Salik
Sher
hairaan huu.n ki piir-e-muGaa.n ke libaas me.n
aa.e kahaa.n se jaama-e-ehraam ke KHavaas
Jaleel Manikpuri
Sher
ham gadaa-e-dar-e-mai-KHaana hai.n ai piir-e-muGaa.n
kaam apnaa tire sadqe me.n chalaa lete hai.n