SEARCH RESULTS
Showing search results for "partimaa"
Sher MATCHES FOR "partimaa"
Sher
kyaa kahuu.n us se ki jo baat samajhtaa hii nahii.n
vo to milne ko mulaaqaat samajhtaa hii nahii.n
Fatima Hasan
Sher
sukuun-e-dil ke liye ishq to bahaana thaa
vagarna thak ke kahii.n to Thahar hii jaanaa thaa
Fatima Hasan
Sher
KHvaabo.n par iKHtiyaar na yaado.n pe zor hai
kab zindagii guzaarii hai apne hisaab me.n
Fatima Hasan
Sher
ulajh ke rah ga.e chehre mirii nigaaho.n me.n
kuchh itnii tezii se badle the un kii baat ke ra.ng
Fatima Hasan
Sher
Fatima Hasan
Sher
Fatima Hasan
Sher
Fatima Hasan
Sher
dikhaa.ii detaa hai jo kuchh kahii.n vo KHvaab na ho
jo sun rahii huu.n vo dhokaa na ho samaa.at kaa
Fatima Hasan
Sher
suntii rahii mai.n sab ke dukh KHaamoshii se
kis kaa dukh thaa mere jaisaa bhuul ga.ii
Fatima Hasan
Sher
raat dariiche tak aa kar ruk jaatii hai
band aa.nkho.n me.n us kaa chehra rahtaa hai
Fatima Hasan
Sher
puurii na adhuurii huu.n na kam-tar huu.n na bartar
insaan huu.n insaan ke me.aar me.n dekhe.n
Fatima Hasan
Sher
ko.ii nahii.n hai mere jaisaa chaaro.n or
apne gird ik bhii.D sajaa kar tanhaa huu.n
Fatima Hasan
Sher
adhuure lafz the aavaaz Gair-vaazeh thii
du.aa ko phir bhii nahii.n der kuchh asar me.n lagii
Fatima Hasan
Sher
makaa.n banaate hu.e chhat bahut zaruurii hai
bachaa ke sehn me.n lekin shajar bhii rakhnaa hai