SEARCH RESULTS
Showing search results for "zarb-e-misl"
Sher MATCHES FOR "zarb-e-misl"
Sher
nazar to pher mire kaaGazii badan kii taraf
abhii ye zarb-e-musalsal se taar-taar nahii.n
Arman Khan Arman
Sher
dekh le zaraa aa kar aa.nsu.o.n ke aa.iine
mai.n sajaa ke palko.n par teraa pyaar laayaa huu.n
Jazib Quraishi
Sher
aa.o mil jaa.o ki ye vaqt na paa.oge kabhii
mai.n bhii ham-raah zamaane ke badal jaa.uu.ngaa
Dagh Dehlvi
Sher
ko.ii KHayaal ko.ii yaad ko.ii to ehsaas
milaa de aaj zaraa aa ke ham ko KHud ham se
Javed Vashisht
Sher
un kii taraf bhii dekho zaraa ai gadaa-navaaz
daaman hii tere saamne phailaa ke rah ga.e
Talib Jaipuri
Sher
gale lagaa.e.nge chuume.nge bhii magar pahle
ham us ko dekh ke zaar-o-qataar ro.e.nge
Hasnain Iqbal
Sher
manzil jise samajhte the yaaraan-e-qaafila
pahu.nche jo us jagah to faqat sa.ng-e-miil thaa
Zaki kakorvi
Sher
mai.n sa.ng-e-miil thaa to ye karnaa pa.Daa mujhe
taa-umr raaste me.n Thaharnaa pa.Daa mujhe
Siraj Faisal Khan
Sher
gahvaara-e-safar me.n khulii hai hamaarii aa.nkh
ta.amiir apne ghar kii hu.ii sa.ng-e-miil se
Ahmad Javaid
Sher
kiijiye aisaa jahaa.n paidaa jahaa.n ko.ii na ho
zarra-o-aKHtar zamiin-o-aasmaa.n ko.ii na ho
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
kuchh na ban aa.egii jab luuT machaaegii KHizaa.n
Guncha har-chand girah kas ke zar-e-gul baa.ndhe
Ismail Merathi
Sher
ab aa.o mil ke so rahe.n takraar ho chukii
aa.nkho.n me.n nii.nd bhii hai bahut raat kam bhii hai