SEARCH RESULTS
Showing search results for "جوکر"
Ghazal MATCHES FOR "جوکر"
Ghazal
duniyaa bhii jaise taash ke patto.n kaa khel hai
joker ke saath rahtii hai raanii hii kyuu.n na ho
Munawwar Rana
Ghazal
qahqaho.n se to zamaana hu.aa mahruum hai.n lab
aur fasaane me.n miraa rol hai joker vaalaa
Maqsood Aafaque
Ghazal
Wali Aasi
Ghazal
jis ke haamii ho ga.e vaa.iz vo baazii le gayaa
ahmiyat hai aap kii duniyaa me.n joker kii tarah
Shauq Bahraichi
Ghazal
unhe.n kah rahaa hai zamaanaa ye joker
jo ro kar ke sab ko ha.nsaane lage hai.n
Aman Kumar Musafir
Ghazal
tumhaare paas ho tadbiir kaa ikkaa to batlaa.o
hamaarii 'aql ke patte to sab joker nikal aa.e
Mehshar Afridi
Ghazal
jaisaa mai.n huu.n mire chehre kii ha.nsii jaisii hai
Gaur se dekh ki hote nahii.n joker aise
Azbar Safeer
Ghazal
tirii naaraazgii bhii KHatm karnii hai abhii to
tamaashaa saadh kar joker bane.nge jo bhii hogaa
Azeem Kamil
Ghazal
Shauq Bahraichi
Ghazal
Iqbal Aslam
Ghazal
joker nahii.n jo ha.nsne-ha.nsaane kaa kaam hai
vahshii ko khaaraa dasht ugaane kaa kaam hai
farzad Ali zeerak
Ghazal
shaah aur begam kii baate.n ho chukii ho.n KHatm to
kiijiye haalaat ke maare hu.e joker kii baat
Arshad Aziz
Ghazal
tamaashaa dekhne vaalo.n ko kyaa ma.aluum aaKHir me.n
baraste qahqaho.n ke baad joker Duub jaa.egaa
Nasira Zuberi
Ghazal
badalte vaqt ne sab khel hai.n badal Daale
vaziir ab yahaa.n joker hai kyaa kiyaa jaa.e
Abdus Sami Siddiqui Naeem
Ghazal
taash kii gaDDii me.n shaamil huu.n magar
taash kaa pattaa nahii.n joker huu.n mai.n