SEARCH RESULTS
Showing search results for "लब-ए-बाम"
Ghazal MATCHES FOR "लब-ए-बाम"
Ghazal
KHvaab dekhuu.n ko.ii mahtaab lab-e-baam utre
yuu.n bhii ho jaa.e muraad-e-dil-e-naakaam utre
Sahba Waheed
Ghazal
dil mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam nahii.n hai
paiGaam ba-andaaz-e-paiGaam nahii.n hai
Nazar Hyderabadi
Ghazal
nazzaara jo hotaa hai lab-e-baam tumhaaraa
duniyaa me.n uchhaltaa hai bahut naam tumhaaraa
Ahsan Marahravi
Ghazal
tanhaa.iyo.n me.n jab vo lab-e-baam aa.e hai.n
sharmindagii se shams-o-qamar jhilmilaa.e hai.n
Salman Kazmi
Ghazal
bichchhaa hai palang aaj lab-e-baam kisii kaa
ta.Dpaa.egaa shab-bhar mujhe aaraam kisii kaa
Imdad Ali Bahr
Ghazal
kal shaam lab-e-baam jo vo jalva-numaa thaa
kis shauq se mai.n duur kha.Daa dekh rahaa thaa
Hameed Jalandhari
Ghazal
us kuu mai.n hu.e ham vo lab-e-baam na aayaa
ai jazba-e-dil tuu bhii kisii kaam na aayaa
Taskeen Dehlavi
Ghazal
be-parda ho ke jab vo lab-e-baam aa gayaa
aa.nkho.n pe merii diid kaa ilzaam aa gayaa
Amjad Mirza Amjad
Ghazal
dekhe kahii.n mujh ko to lab-e-baam se haT jaa.e
is vaz.a se us kii miraa dil kyuu.nki na phaT jaa.e
Mohammad Amaan Nisar
Ghazal
maa.nge hai phir kisii ko lab-e-baam par havas
zulf-e-siyaah ruKH pe pareshaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Ghazal
usii kii shakl mujhe chaa.nd me.n nazar aa.e
vo maah-ruKH jo lab-e-baam bhii nahii.n aataa
Ghulam Mohammad Qasir
Ghazal
ham dhuup me.n tapte to panap jaate magar ab
daryuuza-gar-e-mehr-e-lab-e-baam hamii.n hai.n
Ali Jawad Zaidi
Ghazal
dekhe use har aa.nkh kaa ye kaam nahii.n hai
kuchh khel tamaashaa-e-lab-e-baam nahii.n hai
Mubarak Azimabadi
Ghazal
zindagii Daal rahii thii jo sitaaro.n pe kamand
ab tamaashaa-e-lab-e-baam hu.ii jaatii hai
Jameel Mazhari
Ghazal
vo sub.h kaa ehsaas ho yaa merii kashish ho
Duubaa hu.aa KHurshiid lab-e-baam to aayaa