SEARCH RESULTS
Showing search results for "milne-milaane"
Ghazal MATCHES FOR "milne-milaane"
Ghazal
din ga.e 'ishq me.n ab milne-milaane vaale
ab na lauTe.nge tire shahr se jaane vaale
Kuldeep Kumar
Ghazal
chor-darvaaza jo rakkhaa hai ye baaGiiche me.n
kaun aisaa hai tiraa milne milaane vaalaa
Syed Masood Naqvi
Ghazal
dilo.n me.n KHauf ke chuulhe kii aag ThanDii ho
kabhii na milne-milaane kii aag ThanDii ho
Rana Amir Liyaqat
Ghazal
ye KHud se milne milaane kii ek suurat hai
ki raabta zaraa duniyaa se kam kiyaa jaa.e
Kashif Husain Ghair
Ghazal
hamesha milne milaane se vaasta rakhnaa
kiyaa hai pyaar to jaarii ye silsila rakhnaa
Nasim Rifat Gwaliori
Ghazal
taraqqiyo.n kii bulandii pe aap rahiye magar
sabhii se milne milaane kaa silsila rakhiye
Minhaj Khan
Ghazal
mai.n ne yaado.n ko kafan de ke sulaa rakkhaa hai
kaun aa.egaa yahaa.n milne milaane vaalaa
Surender Pandit Soz
Ghazal
uf ye bhii ko.ii hiile bahaane kaa vaqt hai
hai roz-e-‘iid milne milaane kaa vaqt hai
Zaki Tariq Barabankavi
Ghazal
tavaaf-e-kuucha-e-jaanaa.n bahut hu.aa 'maz.har'
ab un se milne-milaane kii justujuu kiije
Mazhar Qureshi Mazhar
Ghazal
aane kii pa.Dii hai kabhii jaane kii pa.Dii hai
is dil ko faqat milne milaane kii pa.Dii hai
Zebunnisaa Zaibii
Ghazal
mujh ko aksar vo yahii baat kahaa kartaa hai
ham se hii milne milaane me.n takalluf kaisaa
Shagufta Shafiq
Ghazal
ye samundar ki jo ab milne-milaane se gayaa
ga.e vaqto.n me.n hu.aa kartaa thaa mehmaan miraa
Shaheen Abbas
Ghazal
kuchh mile yaa na mile milte milaate rahiye
shauq achchhaa hai ise KHuub ba.Dhaate rahiye
Ved Prakash Malik Sarshar
Ghazal
ye roz roz kaa milnaa milaanaa mushkil hai
vo kah rahaa hai ki va.ada nibhaanaa mushkil hai
Saleem Fauz
Ghazal
dasht-o-dariyaa se bhii kuchh milnaa-milaanaa hu.aa hai
jaise jaise miraa aa.iina puraanaa hu.aa hai