aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "be-vazuu"
ma.abuud is aaKHirii safar me.ntanhaa.ii ko sruKH-ruu hii rakhnaajuz tere nahii.n ko.ii nigah-daarus din bhii KHayaal tuu hii rakhnaajis aa.nkh ne umar bhar rulaayaaus aa.nkh ko be-vazuu hii rakhnaa
hauz me.nbe-harakatpaanii kii sat.h parek me.nDakpaa.nv lambaa.eaaraam seuu.ngh rahaa hai!abhii ko.iivazuu karne aa.egaaaurpaanii me.nhalchal machaa.egaa!!
na jaane kaun vo bahruupiyaa haijo har shabmirii thakii hu.ii palko.n kii sabz chhaa.nv me.ntarah tarah ke karishme dikhaayaa kartaa hailapaktii surKH lapaTjhuumtii hu.ii Daaliichamakte taal ke paanii me.n Duubtaa pattharubharte phailte ghero.n me.n tairte KHanjaruchhaltii ge.nd raba.D kii sadhe hu.e do haathsulagte khet kii miTTii pe TuuTtii barsaatajiib KHvaab hai.n yebinaa vazuu kiye so.ii nahii.n kabhii mai.n tomai.n sochtii huu.nkisii roz apnii bhaabii kechamakte paa.nv kii paazeb to.D kar rakh duu.nba.Dii shariir hai har vaqt shor kartii hai.nkisii tarah sahii be-KHvaab nii.nd to aa.egha.Dii gha.Dii kii musiibat se jaan chhuT jaa.e
havaa be-mehr thii us raat ThanDii aur kaTiiliisaa.ns lenaa sar se uu.nchii lahr se Takkar lagaanaa thaasadaa ko.ii nahii.n thiisamt kii ta.ayyun mushkil thiinashebii bastiyo.n me.n raaste ik duusre me.n KHatm hote thetujhe kyaa alam hai vo raat sar-taa-paa shab-e-hijraa.n hamaare haq me.n kaisii thiilakiire.n haath kii naa-mehrbaa.nmaathaa ma.iishat kii tarah ta.ng aur ghar barkat se chehra nuur se aariigunaaho.n kaa kyaa maqduur thaa achchhaa amal bhii ho nahii.n paayaakisii bu.Dhiyaa kii kuTiyaa me.n diyaa jhaa.Duuna ro.e baa-vazuu ho karna kuchh tartiil na tahliilho.nTo.n se du.aa hii phuuTtii lekin hamaarii tiira rozii raat ke har brij parbedaar aur choukas thiigaahe gaahe ik lalkaar aatii thii azal kii lauh seaur ham mano.n miTTii ke niiche sahm jaate thehavaa be-mehr thii us raat ThanDii kaTiiliisaa.ns lenaa sar se uu.nchii lahr se Takkar lagaanaa thaa
subuu TuuTemohabbat kii namaazo.n me.nvazuu TuuTedu.aa ro.iidu.aa ke aasmaano.n parka.ii chashmaan o lab ro.ekabhii ko.ii sabab rone kaa niklaa haimagar ham be-sabab ro.ezamiino.n aur zamaano.n kii ajabra.njuu gardish me.nhavaa ke aastaane parjhukaa.e sar pashiimaa.n be-zabaa.ntanhaa.iyo.n ke qaafile utrevahii ham themujassam bandagii zaKHmii tamaashe ke nishaane parkabhii sahme hu.e KHvaahish kiiretiilii fazaa.o.n me.ntumhe.n dekhaa tumhe.n chaahaakabhii mausam-e-faraamoshii ke narGe me.nudaasii kii fasiilo.n parazaan-e-KHud-kalaamii diitumhaare faaslo.n ko apnii mahruumii kii KHalvat me.nbiThaayaa baam-o-dar koajnabiyat ke sitaaro.n se sajaayaavahii ham thehamaarii baat ke raqs-e-junuu.n me.nkho diyaa tum kovahii tum thevidaa-e-lamha-e-ta.ajiil kii KHaatirthake TuuTe hu.e aa kar lipaT jaanekii KHvaahish me.nbikharte apnii aa.nkho.n ke muqaddas motiyo.n me.nlamha-e-aaKHir guzar jaane kii dhun me.numr-bhar KHud se gurezaa.n rah ga.eham tum hijaab-e-naa-shanaasaa.ii kemujrim ban ga.ehar faasla kitne adhuure faaslo.n kaaisti.aara haisamundar dekh terii aastiino.n me.nfuGaa.n kartaa kinaara haimulaaqaate.n, nahii.n phir bhii mulaaqaate.nmulaaqaato.n kii kuchh ummiid baaqii rah na jaa.eashk kaa ik aaKHirii qatra bhiiyuu.nhii bah na jaa.e
un hasiinaa.o.n ke naamjin kii aa.nkho.n ke gulchilmano.n aur dariicho.n kii belo.n pe be-kaar khil khil kemurjhaa ga.e hai.nun biyaahtaao.n ke naamjin ke badanbe mohabbat riyaa-kaar sejo.n pe saj saj ke uktaa ga.e hai.nbevaa.o.n ke naamkaT.Diyo.n aur galiyo.n mohallo.n ke naamjin kii naapaak KHaashaak se chaa.nd raato.nko aa aa ke kartaa hai aksar vazuujin ke saayo.n me.n kartii hai aah-o-bukaaaa.nchalo.n kii hinaachuu.Diyo.n kii khanakkaakulo.n kii mahakaarzuu-mand siino.n kii apne pasiine me.n julne kii buu
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
mire raazdaa.nmerii aa.nkho.n me.n dekhobataa.o mujhe kyaa kahii.n KHauf haikyaa kahii.n ko.ii KHvaahishmachaltii hu.ii paa-barahna miliikyaa mirii aa.nkh ke baa.nkpan me.nnaqaahat to ubhrii nahii.nmohabbat kaa dhaagaa jo uljhaa hu.aa haikahii.n us kii surKHii toaa.nkho.n me.n dikhtii nahii.nmire raazdaa.nmerii baato.n ko socho bataa.o mujhekyaa kahii.n in me.n taqdiir seko.ii shikva bhii haiko.ii doGlaa-pantalaffuz kii ''Galatiikahii.n naa-muraadii kaa be-vazn misrashaqaavat tanaffur bharaa ko.ii jumlaagar aisaa hai to bataa.o mujhe
KHunuk havaa kaa barahna haatho.n se zard maathe sepahlaa pahlaa mukaalima haiabhii ye din-raat sard-mehrii ke itne KHuugar nahii.n hu.e hai.nto phir ye be-vazn sub.h kyuu.n bojh ban rahii haisavaad-e-aaGaaz-e-KHushk-saalii me.n kyuu.n varaq bhiigne lagaa haidhu.aa.n dhu.aa.n shaam ke alaav me.n ko.ii jangal jaleki ruuThii hu.ii tamannaaKHizaa.n kaa paanii ko.ii ishaara nahii.n samajhtaaye nahr ab tak puraane pahre me.n chal rahii haiajiib taasiir aaKHir-e-shab ke aasmaa.n kiihavaa chale yaa zamiin ghuumefasiil kohre kii ko.ii suuraj nahii.n giraataazamiin se malba ga.e dino.n kaa ko.ii sitaara nahii.n uThaataa
bahut sii aavaaz jamaa kar keek chiiKH banaa.ii jaa saktii haibahut tho.De lafzo.n seek baaGii nazm banaa.ii jaa saktii hailekinzinda qabristaan me.n ek nazm kaa katba kaafii nahii.nqabre.n dam saadhe pa.Dii hai.nhamaarii maa.e.n murda bachcho.n ko janm de rahii hai.nlaashe.n shanaaKHt karte hu.e hujuum apnaa chehraabhuul jaataa hai!ham zindagii se sohbat karne nikle theaur zindagii ne hamaare KHusiyo.n se ke.nche banaa liyehamaare lahuu me.n chyuu.nTiyaa.n re.ngtii hai.nmagar ham apnii marzii se khujlii tak nahii.n kar sakteqataar me.n kha.De kha.De ham duusro.n se muKHtalif kaise ho ga.e!!!zindagii miizaan hotii to ham us ke pal.De apne vajuudo.n se bhar detemagar kyaa kare.n ki ham KHud apnii nazro.n me.n bahut be-vazn thehatheliyo.n me.n suraaKH ho.n to aa.nkhe.n kahaa.n sambhaale.nham ne sirf chehre nibhaa.e rishte nahii.npyaasii zamiino.n me.n aa.nsuu kaasht kar ke bhiibuu.nd bhar hariyaalii nahii.n khiliiham saarii umr apne KHvaabo.n ke jolaahe bane raheaur apne bachcho.n ke liye ek saaya-daar parcham na bun sakehamaarii miTTii mahz miTTii rahiikabhii vatan na ban paa.ii!!!
raat ke kaale badan pe sitaare Taa.nkne kii mashqapnii ruuh par paivand lagaane jaisii mushkil nahii.n hotiiaasmaan se laTaktii shaaKHo.n parmannato.n ke dhaage kab tak baa.ndhe jaa sakte hai.nbujhe hu.e ko.ele aur giilii lak.Dii chi.ngaarii nahii.n paka.Dteso.ii hu.ii sard mohabbat ne karvaT badal lii haicharaaG le kar safar par nikalne vaalii titlii kochaudah din puraane chaa.nd se kyaa Garazbahtii hu.ii sa.Dko.n se apnaa raasta chun lenaaaur aavaazo.n me.n se apne hisse kii aavaaz sun lenaaaasmaan ke bas me.n kab haius ke juzdaan me.n lipTii sahiife jaisii raat naazil ho ga.ii haisaat suro.n me.n bahtaa raat kaa ye pahlaa pahar aurkin-min saa barastaa tumhaaraa narm ehsaasbaarish ke baa.e.n gaal par rakhaa hu.aa haiaag baarish kii bolii bol rahii haiseptember kii gyaarahvii.n raat haisa.Dak kii silvaTo.n par aThkheliyaa.n letii mohabbat kobaarish ke paanii se baa-vazuu daraKHto.n ne sajda kar liyaa hai
vo mujh se milaa magarqurb-o-duurii kii is nahaj parjahaa.n amaanat me.n KHayaanat kaa KHauf rahaajahaa.n chaashnii kaa aisaa daur thaaki na din guzarne kaa ilm na raat kaa pataajahaa.n supurdagii kaa vo aalam thaaki do jism ek jaan kaa mo.aamlamagar ajab saa ek rakh-rakhaav rahaaham dono.n ke darmiyaanna vo dariyaa ke paar utraana mai.n ne khole baadbaangoyaa mere aur us ke biichchand farlaa.ng adab kii duurii hous ke andar jhaa.nknaa jaiseko.ii naa-qaabil-e-mu.aafii chorii hojaise muqaddas kitaabo.n kii jaanibbe-vuzuu ba.Dhtaa hu.aa haathehtiraaman rok le ko.iijaise sirhaane pe pa.Dtaa hu.aa paa.nvehtiyaatan thaam le ko.iijaise ulTe pa.De hu.e juute kii samtfauran ruKH aasmaan se mo.D le ko.iigoyaa us kaa vajuud kisii muqaddas shai kii maanind thaajis ko Gair qasdan chhuunaa bhii gunaah hogoyaa us kii zaat me.n safar karnaa to halaal thaamagar us ke dil me.n ghar karnaa haraam hovo mujh se milaa magarqurb-o-duurii kii us nahaj parjahaa.n amaanat me.n KHayaanat kaa KHauf rahaa
vo mujh se milaa magarqurb-o-duurii kii is nahaj parjahaa.n amaanat me.n KHayaanat kaa KHauf rahaajahaa.n chaashnii kaa aisaa daur thaaki na din guzarne kaa ilm na raat kaa pataajahaa.n supurdagii kaa vo aalam thaaki do jism ek jaan kaa mo.aamlamagar ajab saa ek rakh-rakhaav rahaaham dono.n ke darmiyaanna vo dariyaa ke paar utraana mai.n ne khole baadbaangoyaa mere aur us ke biichchand farlaa.ng adab kii duurii hous ke andar jhaa.nknaa jaiseko.ii naa-qaabil-e-mu.aafii chorii hojaise muqaddas kitaabo.n kii jaanibbe-vuzuu ba.Dhtaa hu.aa haathehtiraaman rok le ko.iijaise sirhaane pe pa.Dtaa hu.aa paa.nvehtiyaatan thaam le ko.iijaise ulTe pa.De hu.e juute kii samtfauran ruKH aasmaan se mo.D le ko.iigoyaa us kaa vajuud kisii muqaddas shai kii maanind thaajis ko Gair qasdan chhuunaa bhii gunaah hogoyaa us kii zaat me.n safar karnaa to halaal thaamagar us ke dil me.n ghar karnaa haraam hovo mujh se milaa magarqurb-o-duurii kii is nahaj parjahaa.n amaanat me.n KHayaanat kaa KHauf rahaa
magar na jaanevo raasta kyuu.n chunaa thaa mai.n neki jis pe KHud se visaal tak kaa gumaa.n nahii.n hai?vo raasta kyuu.n chunaa thaa mai.n nevo ruk gayaa hai dilo.n ke ib.haam ke kinaare?vahii kinaaraa ki jis ke aage gumaa.n kaa mumkinjo tuu hai mai.n huu.n!magar ye sach haimai.n tujh ko paane kii (KHud ko paane kii) aarzuu me.n nikal pa.Daa thaaus ek mumkin kii justujuu me.njo tuu hai mai.n huu.nmai.n aise chehre ko Dhuu.nDhtaa thaajo tuu hai mai.n huu.nmai.n aisii tasviir ke ta.aaqub me.n ghuumtaa thaajo tuu hai mai.n huu.n!mai.n is ta.aaqub me.nkitne aaGaaz gin chukaa huu.n(me.n us se Dartaa huu.n jo ye kahtaahai mujh ko ab ko.ii Dar nahii.n hai)mai.n is ta.aaqub me.n kitnii galiyo.n se,kitne chauko.n se,kitne guu.nge musass se, guzar gayaa huu.nmai.n is ta.aaqub me.n kitne baaGo.n se,kitnii andhii sharaab raato.n se,kitnii baa.nho.n se,kitnii chaahat ke kitne bifre samundaro.n seguzar gayaa huu.nmai.n kitnii hosh o amal kii sham.o.n se,kitne iimaa.n ke gumbado.n seguzar gayaa huu.nmai.n is ta.aaqub me.n kitne aaGaaz kitne anjaam gin chukaa huu.nab is ta.aaqub me.n ko.ii dar haina ko.ii aataa hu.aa zamaanahar ek manzil jo rah ga.ii haifaqat guzartaa hu.aa fasaanatamaam raste, tamaam buujhe savaal, be-vazn ho chuke hai.njavaab, taariiKH ruup dhaarebas apnii takraar kar rahe hai.njavaab ham hai.n javaab ham hai.nhame.n yaqii.n hai javaab ham hai.nyaqii.n ko kaise yaqii.n se dohraa rahe hai.n kaise!magar vo sab aap apnii zid hai.ntamaam, jaise gumaa.n kaa mumkinjo tuu hai mai.n huu.n!
mere nazdiik mohabbat ilhaamii shai haiye aasmaano.n se utartii haidil kii paak shaffaaf zamiin parye mohabbat azaan-e-fajr ke baad utartii hu.ii paak sahar haiye itnii paak hai jitnaa jis kaa taKHayyul paak haimohabbat is qadar paakiiza hotii hai jitnaa jis kaa KHuun paak hotaa haimohabbat us ko kahte hai.n jab roza-daar iftaar ke vaqtik paanii kaa gilaas saamne rakhe us aavaaz kaa intizaar kartaa hai ki kab hukm hous aavaaz kaa intizaar mohabbat haimohabbat vo manzil hai jis ke raaste pe chalne vaale dil aab-e-zamzam se dhule hote hai.nmohabbat rizq hai un aa.nkho.n kaa jo mahbuub kaa diidaar baa-vazuu ho kar kartii hai.nun logo.n ke chahaar-jaanib bahaar-e-mohabbat ke gulaab khilte hai.n jin pe KHizaa.n nahii.n aatiimohabbat kaa gulshanizzat kii KHushbuu se mahaktaa haiye mohabbat vo jazba hai jis ke tahat garmii kii shiddat pyaas kii hiddat me.nchhaa.nv kii jagah par parindo.n ko paanii rakhaa jaa.eye mohabbat vo manzil hai jis pe pahu.nchne ke liye ik pyaase kutte ko paanii pilaanaa pa.Dtaa haimohabbat naam zabaan pe aane se pahle soch ko baa-vazuu ho jaanaa chaahiyeaur jinho.n ne naam-e-mohabbat ko utran kii tarah pahnaa haijinho.n ne mohabbat ko hii dhoka diyaa haiun pe phir mohabbat azaab ban ke utartii haimohabbat ruuTh jaatii haikyuu.nki ye izzat haiaisii izzat jo mohabbat se pahle dil kii sarzamiin pe utreaur izzate.n buland rahe.n hamesha mohabbato.n sejahaa.n izzat kii sar-bulandii rahegii vahaa.n mohabbat hamesha zinda rahegiiaur jin logo.n nemohabbat ko kaarobaar banaayaa haivo log mohabbat kii miim se naa-balad hai.nun ke vaaste mohabbat naam ke chand din hote hai.nphir bahaane aur apnii Galiiz fitrat ke pesh-e-nazarkabhii ik dar kabhii duusraa darkabhii yahaa.n jhukaa kabhii vahaa.n jhukaaare sunomohabbat ke naam pe ta'alluqaat ko libaas se jald badalne vaale insaantauhiin mat karo mohabbat kiiis ilhaamii shai ko is paak jazbe ko paak rahne doaur yaad rakho tauhiin-e-mohabbat ke murtakibtum se to ab nafrat bhii mere shaayaan-e-shaan nahii.n
mai.n tan ke kuuze me.nbe-faiz be-sabab saa huu.nkisii davaa ke huu.n qaabil na tishnagii ke liyetire sharaab se ho.nTo.n ne kar diyaa mailaamai.n paak paanii thaa shaayad kisii vuzuu ke liye
mai.n ek tesha-ba-dast insaa.nmujhe KHaraabo.n kii justujuu haimujhe pahaa.Do.n kii aarzuu haimai.n chaahtaa huu.n ki is jahaa.n ketamaam dukh.De ukhaa.D phe.nkuu.nmai.n chaahtaa huu.n ki aane vaale na.e zamaane kiisaarii raahe.nharii-bharii ho.nhar ik shajar ik libaas pahnena.ii vaz.a kaahar ek gul par shabaab mahkena.ii tarah kaamai.n chaahtaa huu.n ki nasl-e-insaa.n jo aa rahii haiqaraar baa.nTesukuun bo.e to pyaar kaaTemagar mire ahd ke ye insaa.nmire muqaabil kha.De hu.e hai.npahaa.D ban karmai.n apnaa tesha chalaa.uu.n kis parinhii me.n ko.ii hai meraa bhaa.iiko.ii chachaa haimai.n sochtaa huu.nuThaa ke teshe ko is zamii.n parlakiir khii.nchuu.n musaalahat kiiphir apne hisse kii sab zamii.n parchalaa.uu.n teshamagar KHayaalo.n me.n baat Thahriimirii zamii.n ke tamaam hissemire hii bachcho.n ne bech khaa.e
haathii dekh ke chyuu.nTii bolii kitnaa hai be-Daul badanchuuhe ne bhii uu.nT kii lambaa.ii ko samjhaa paagal-pangaajar shaljam aur muulii ne kahaa ki chaupaT hai bai.nganduusro.n ke baare me.n yuu.n to sab kuchh kahnaa hai aasaansab se ziyaada mushkil hai duniyaa me.n KHud apnii pahchaan
a.azaa kaa tanaasubrago.n me.n dau.Dte zinda javaa.n sarshaar KHuu.n kii gungunaahaThame.n dete hai.n daavat ishq kiilekinhamaarii chashm-e-aahan-posh pairaahan-shanaasaa hailibaaso.n kii mohabbatvaz-e-pairaahan ko sab kuchh maan karnaa-biinaa aa.nkhe.n ishq kartii hai.nhamaarii zindagii tahziib-e-pairaahan haizaahir kii parastish haihamaare saare aadaab-e-nazaaraa farz kar lete hai.ninsaa.n be-badan haibadan dar-asl insaa.n hai tamaddun hai mohabbat haibadan hii ruuh hai nuur-e-haraarat zindagii haibadan hii kaa karishma zehn kii taKHliiq tasKHiir-e-fulaa.n haihamaarii chashm-e-aahan-posh pairaahan shanaasaa haibadan kii taab laa saktii nahii.ntahziib-e-pairaahan na zinda hai na zehn-o-ruuh rakhtii haihamaare buu.Dhe kohna aur farsuuda libaaso.n se ibaarat hai.nhamaare naujavaa.n maGrib ke taaza faishano.n ke chalte phirte ishtihaarii hai.nbadan ma.aduum haiaur be-badan ruuhe.n dhu.aa.n hai.nbe-badan az.haan aaseb-e-nazaara hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books