aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "rakba"
tab kaun hai yeshaane par narmii se rakhaa jaane vaalaaik haath kahii.n yeKHusrav kaa naGma to nahii.nik pal sanjog zamaano.n kaajaano.n kaa aur armaano.n kaajharnaa ban kar patthar se phuuT pa.Daa
hame.n un se milnaa haijo kal ke hai.nhamaare paas vo kal hai.naur un ke darmiyaan haima.aduum ek aajjis kaa raqbaa ek sifr par muhiit haiis sifr me.n hai ek duniyaajo kal se aa.ii haiaur kal kii taraf jaa rahii haiham is kal par ek qaaliin bichhaatejo jahannam me.n chalne kaa mashvara detii haimai.n us se puuchhtaa huu.nkyaa us ne visa lagvaa liyaa haimeraa passport re-new hone gayaa haiagar mere paashukkaam kii jadiid kaniizo.n ke liyenaa-munaasib na samjhe jaane vaale tohfe hu.eto mai.n passport ke baGair bhiiis ke saath jaane ke liyekashtii me.n savaar kar diyaa gayaaaur kashtii par paanii kaa kyaa udhaar haiye to mai.n bhii nahii.n jaantaa
mirii zamii.n kaatuul-o-'arz naapne ke saath saathjaa.edaadii kaaGzaat me.nye aur likhnaaaasmaa.n kaa raqba bhii durust hai
mujh se pahlii sii mohabbat mirii mahbuub na maa.ngmai.n ne samjhaa thaa ki tuu hai to daraKHshaa.n hai hayaatteraa Gam hai to Gam-e-dahr kaa jhag.Daa kyaa haiterii suurat se hai aalam me.n bahaaro.n ko sabaatterii aa.nkho.n ke sivaa duniyaa me.n rakkhaa kyaa haituu jo mil jaa.e to taqdiir niguu.n ho jaa.eyuu.n na thaa mai.n ne faqat chaahaa thaa yuu.n ho jaa.eaur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaaraahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
aa ki vaabasta hai.n us husn kii yaade.n tujh sejis ne is dil ko parii-KHaana banaa rakkhaa thaajis kii ulfat me.n bhulaa rakkhii thii duniyaa ham nedahr ko dahr kaa afsaana banaa rakkhaa thaa
mujh se pahle tujhe jis shaKHs ne chaahaa us neshaayad ab bhii tiraa Gam dil se lagaa rakkhaa hoek be-naam sii ummiid pe ab bhii shaayadapne KHvaabo.n ke jaziiro.n ko sajaa rakkhaa ho
is qadar pyaar se ai jaan-e-jahaa.n rakkhaa haidil ke ruKHsaar pe is vaqt tirii yaad ne haatyuu.n gumaa.n hotaa hai garche hai abhii sub.h-e-firaaqDhal gayaa hijr kaa din aa bhii ga.ii vasl kii raat
nahii.n ma.aluum 'zaryuun' ab tumhaarii umr kyaa hogiimire KHud se guzarne ke zamaane se sivaa hogiimire qaamat se ab qaamat tumhaaraa kuchh fuzuu.n hogaamiraa fardaa mire diiroz se bhii KHush numuu.n hogaahisaab-e-maah-o-saal ab tak kabhii rakkhaa nahii.n mai.n nekisii bhii fasl kaa ab tak maza chakkhaa nahii.n mai.n nemai.n apne aap me.n kab rah sakaa kab rah sakaa aaKHirkabhii ik pal ko bhii apne liye sochaa nahii.n mai.n nehisaab-e-maah-o-saal o roz-o-shab vo soKHta-buudashmusalsal jaa.n-kanii ke haal me.n rakhtaa bhii to kaisejise ye bhii na ho ma.aluum vo hai bhii to kyuu.n-kar haiko.ii haalat dil-e-paamaal me.n rakhtaa bhii to kaiseko.ii nisbat bhii ab to zaat se baahar nahii.n meriiko.ii bistar nahii.n meraa ko.ii chaadar nahii.n merii
ibliisye anaasir kaa puraanaa khel ye duniyaa-e-duu.nsaakinaan-e-arsh-e-aazam kii tamannaa.o.n kaa KHuu.nis kii barbaadii pe aaj aamaada hai vo kaarsaazjis ne is kaa naam rakhaa thaa jahaan-e-kaaf-o-nuu.nmai.n ne dikhlaayaa fara.ngii ko muluukiyat kaa KHvaabmai.n ne to.Daa masjid-o-dair-o-kaliisaa kaa fusuu.nmai.n ne naadaaro.n ko sikhlaayaa sabaq taqdiir kaamai.n ne mun.im ko diyaa sarmaaya daarii kaa junuu.nkaun kar saktaa hai is kii aatish-e-sozaa.n ko sardjis ke ha.ngaamo.n me.n ho ibliis kaa soz-e-daruu.njis kii shaaKHe.n ho.n hamaarii aabiyaarii se bulandkaun kar saktaa hai is naKHl-e-kuhan ko sar-niguu.npahlaa mushiiris me.n kyaa shak hai ki mohkam hai ye ibliisii nizaampuKHta-tar is se hu.e KHuu-e-Gulaamii me.n avaamhai azal se in Gariibo.n ke muqaddar me.n sujuudin kii fitrat kaa taqaazaa hai namaaz-e-be-qayaamaarzuu avval to paidaa ho nahii.n saktii kahii.nho kahii.n paidaa to mar jaatii hai yaa rahtii hai KHaamye hamaarii sa.ii-e-paiham kii karaamat hai ki aajsuufii-o-mullaa muluukiyyat ke bande hai.n tamaamtab-e-mashriq ke liye mauzuu.n yahii afyuun thiivarna qavvaalii se kuchh kam-tar nahii.n ilm-e-kalaamhai tavaaf-o-haj kaa ha.ngaama agar baaqii to kyaakund ho kar rah ga.ii momin kii teG-e-be-niyaamkis kii nau-miidii pe hujjat hai ye farmaan-e-jadiidhai jihaad is daur me.n mard-e-musalmaa.n par haraamduusraa mushiirKHair hai sulataanii-e-jamhuur kaa GauGaa ki shartuu jahaa.n ke taaza fitno.n se nahii.n hai baa-KHabarpahlaa mushiirhuu.n magar merii jahaa.n-biinii bataatii hai mujhejo muluukiyat kaa ik parda ho kyaa is se KHatarham ne KHud shaahii ko pahnaayaa hai jamhuurii libaasjab zaraa aadam hu.aa hai KHud-shanaas-o-KHud-nigarkaarobaar-e-shahryaarii kii haqiiqat aur haiye vajuud-e-miir-o-sultaa.n par nahii.n hai munhasirmajlis-e-millat ho yaa parvez kaa darbaar hohai vo sultaa.n Gair kii khetii pe ho jis kii nazartuu ne kyaa dekhaa nahii.n maGrib kaa jamhuurii nizaamchehra raushan andaruu.n cha.ngez se taariik-tartiisraa mushiirruuh-e-sultaanii rahe baaqii to phir kyaa iztiraabhai magar kyaa is yahuudii kii sharaarat kaa javaabvo kaliim-e-be-tajallii vo masiih-e-be-saliibniist paiGambar va-lekin dar baGal daarad kitaabkyaa bataa.uu.n kyaa hai kaafir kii nigaah-e-parda-sozmashriq-o-maGrib kii qaumo.n ke liye roz-e-hisaabis se ba.Dh kar aur kyaa hogaa tabii.at kaa fasaadto.D dii bando.n ne aaqaa.o.n ke KHemo.n kii tanaabchauthaa mushiirto.D is kaa ruumat-ul-kubraa ke aivaano.n me.n dekhaal-e-ceaser ko dikhaayaa ham ne phir ceaser kaa KHvaabkaun bahr-e-ruum kii maujo.n se hai lipTaa hu.aagaah baalad-chuu.n-sanobar gaah naalad-chuu.n-rubaabtiisraa mushiirmai.n to is kii aaqibat-biinii kaa kuchh qaa.il nahii.njis ne afra.ngii siyaasat ko kyaa yuu.n be-hijaabpaa.nchvaa.n mushiir ibliis ko muKHaatab kar keai tire soz-e-nafas se kaar-e-aalam ustuvaartuu ne jab chaahaa kiyaa har pardagii ko aashkaaraab-o-gil terii haraarat se jahaan-e-soz-o-saazablah-e-jannat tirii ta.aliim se daanaa-e-kaartujh se ba.Dh kar fitrat-e-aadam kaa vo mahram nahii.nsaada-dil bando.n me.n jo mash.huur hai parvardigaarkaam thaa jin kaa faqat taqdiis-o-tasbiih-o-tavaafterii Gairat se abad tak sar-niguu.n-o-sharmsaargarche hai.n tere muriid afra.ng ke saahir tamaamab mujhe un kii faraasat par nahii.n hai e'tibaarvo yahuudii fitna-gar vo ruuh-e-mazdak kaa buruuzhar qabaa hone ko hai is ke junuu.n se taar taarzaaG dashtii ho rahaa hai ham-sar-e-shaahiin-o-charGkitnii sur.at se badaltaa hai mizaaj-e-rozgaarchhaa ga.ii aashufta ho kar vus.at-e-aflaak parjis ko naadaanii se ham samjhe the ik musht-e-Gubaarfitna-e-fardaa kii haibat kaa ye aalam hai ki aajkaa.npte hai.n kohsaar-o-murG-zaar-o-juu.ebaarmere aaqaa vo jahaa.n zer-o-zabar hone ko haijis jahaa.n kaa hai faqat terii siyaadat par madaar
raat-bhar phuu.ko.n se har lau ko jagaa.e rakkhaaaur do jismo.n ke ii.ndhan ko jalaa.e rakkhaaraat-bhar bujhte hu.e rishte ko taapaa ham ne
chand ma.asuum paagalo.n kii sazaaaaj mai.n ne bhii soch rakkhaa hai
jin ko duniyaa kii nigaaho.n se chhupaa.e rakkhaajin ko ik umr kaleje se lagaa.e rakkhaadiin jin ko jinhe.n iimaan banaa.e rakkhaa
duniyaa-bhar se duur ye nagriinagrii duniyaa-bhar se niraaliiandar armaano.n kaa melabaahar se dekho to KHaaliiham hai.n is kuTiyaa ke jogiiham hai.n is nagrii ke vaaliiham ne taj rakkhaa hai zamaanaatum aanaa to tanhaa aanaa
yuu.n to jo kuchh thaa mire paas mai.n sab bech aayaakahii.n in.aam milaa, aur kahii.n qiimat bhii nahii.nkuchh tumhaare liye aa.nkho.n me.n chhupaa rakkhaa haidekh lo aur na dekho to shikaayat bhii nahii.n
tere ho.nTo.n se bahtii hu.ii ye ha.nsiido-jahaano.n pe naafiz na hone kaa baa.istire haath hai.njin ko tuu ne hamesha labo.n par rakhaa muskuraate hu.etuu nahii.n jaantiinii.nd kii goliyaa.n kyo.n banaa.ii ga.ii.nlog kyo.n raat ko uTh ke rote hai.n sote nahii.ntuu ne ab tak ko.ii shab agar jaagte bhii guzaariito vo barbie night thiitujh ko kaise bataa.uu.nki terii sadaa ke ta'aaqub me.nmai.n kaise dariyaa.o.n sahraa.o.n aur jangalo.n se guzartaa hu.aaek aisii jagah jaa giraa thaajahaa.n pe.D kaa suukhnaa 'aam sii baat thiijahaa.n un charaaGo.n ko jalne kii ujrat nahii.n mil rahii thiijahaa.n la.Dkiyo.n ke badan sirf KHushbuu banaane ke kaam aate thejahaa.n ek maa'suum bachcha parinde paka.Dne ke saare hunar jaantaa thaamujh ko maa'luum thaateraa aise jahaa.n aisii duniyaa se ko.ii ta'alluq nahii.ntuu nahii.n jaantiikitnii aa.nkhe.n tujhe dekhte dekhte bujh ga.ii.nkitne kurte tire haath se istirii ho ke jalne kii KHvaahish me.n khuu.nTii se laTke rahekitne lab tere maathe ko tarsekitnii shahraahe.n is shauq me.n phaT ga.ii hai.nki tuu un ke siine pe paa.nv dharemai.n tujhe Dhuu.nDte Dhuu.nDhte thak gayaa huu.nab mujhe terii maujuudgii chaahiyeapne saaTan me.n sahme hu.e surKH pairo.n ko ab mere haatho.n pe rakhmai.n ne chakhnaa hai in kaa namak
baap kii u.nglii thaameik nanhaa saa bachchapahle-pahal mele me.n gayaa toapnii bholii-bhaaliikancho.n jaisii aa.nkho.n seik duniyaa dekhiiye kyaa hai aur vo kyaa haisab us ne puuchhaabaap ne jhuk karkitnii saarii chiizo.n aur khelo.n kaaus ko naam bataayaanaT kaabaaziigar kaajaaduugar kaaus ko kaam bataayaaphir vo ghar kii jaanib lauTegod ke jhuule me.nbachche ne baap ke ka.ndhe par sar rakkhaabaap ne puuchhaanii.nd aatii hai
itnii muddat dil-e-aavaara kahaa.n thaa ki tujheapne hii ghar ke dar-o-baam bhulaa baiThe hai.nyaad yaaro.n ne to kab harf-e-mohabbat rakkhaaGair bhii ta.ana o dushnaam bhulaa baiThe hai.n
vo merii maa.n mai.n kabhii jis kii piiTh par na cha.Dhaavo merii maa.n kabhii kuchh jis ke kaan me.n na rakhaavo maa.n kabhii jo mujhe kardhanii pinhaa na sakiijo taal haath se de kar mujhe nachaa na sakiijo mere haath se ik din davaa bhii pii na sakiiki mujh ko zindagii dene me.n jaan hii de diivo maa.n na dekh sakaa zindagii me.n jis kii chaahusii kii bhaTaktii hu.ii ruuh ko dikhaataa raah
ik din kisii makkhii se ye kahne lagaa mak.Daais raah se hotaa hai guzar roz tumhaaraalekin mirii kuTiyaa kii na jaagii kabhii qismatbhuule se kabhii tum ne yahaa.n paa.nv na rakkhaaGairo.n se na miliye to ko.ii baat nahii.n haiapno.n se magar chaahiye yuu.n khi.nch ke na rahnaaaa.o jo mire ghar me.n to izzat hai ye meriivo saamne sii.Dhii hai jo manzuur ho aanaamakkhii ne sunii baat jo mak.De kii to boliihazrat kisii naadaan ko diijegaa ye dhokaais jaal me.n makkhii kabhii aane kii nahii.n haijo aap kii sii.Dhii pe cha.Dhaa phir nahii.n utraa
ai na.e saal bataa tujh me.n nayaa-pan kyaa haihar taraf KHalq ne kyo.n shor machaa rakhaa hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books