Izhar Shayari
How do we express ourselves? There are indeed many ways to do that. These may be verbal or even gestural. Lovers express themselves in mysterious ways than others and poets express them more creatively than we may imagine. Expressions may be hesitant or instant but all expressions have their own significance. Here are some examples.
ye kahnā thā un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne meñ mujh ko zamāne lage haiñ
ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamane lage hain
-
Tags : Ishqand 1 more
ishq ke iz.hār meñ har-chand rusvā.ī to hai
par karūñ kyā ab tabī.at aap par aa.ī to hai
ishq ke izhaar mein har-chand ruswai to hai
par karun kya ab tabiat aap par aai to hai
sab kuchh ham un se kah ga.e lekin ye ittifāq
kahne kī thī jo baat vahī dil meñ rah ga.ī
sab kuchh hum un se kah gae lekin ye ittifaq
kahne ki thi jo baat wahi dil mein rah gai
hāl-e-dil kyuuñ kar kareñ apnā bayāñ achchhī tarah
rū-ba-rū un ke nahīñ chaltī zabāñ achchhī tarah
haal-e-dil kyun kar karen apna bayan achchhi tarah
ru-ba-ru un ke nahin chalti zaban achchhi tarah
ek din kah lījiye jo kuchh hai dil meñ aap ke
ek din sun lījiye jo kuchh hamāre dil meñ hai
ek din kah lijiye jo kuchh hai dil mein aap ke
ek din sun lijiye jo kuchh hamare dil mein hai
tujh se kis tarah maiñ iz.hār-e-tamannā kartā
lafz sūjhā to ma.ānī ne baġhāvat kar dī
tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta
lafz sujha to maani ne baghawat kar di
mujh se nafrat hai agar us ko to iz.hār kare
kab maiñ kahtā huuñ mujhe pyaar hī kartā jaa.e
mujh se nafrat hai agar us ko to izhaar kare
kab main kahta hun mujhe pyar hi karta jae
-
Tag : Sad
dil pe kuchh aur guzartī hai magar kyā kiije
lafz kuchh aur hī iz.hār kiye jaate haiñ
dil pe kuchh aur guzarti hai magar kya kije
lafz kuchh aur hi izhaar kiye jate hain
-
Tag : Dil
aur is se pahle ki sābit ho jurm-e-ḳhāmoshī
ham apnī raa.e kā iz.hār karnā chāhte haiñ
aur is se pahle ki sabit ho jurm-e-KHamoshi
hum apni rae ka izhaar karna chahte hain
zabān dil kī haqīqat ko kyā bayāñ kartī
kisī kā haal kisī se kahā nahīñ jaatā
zaban dil ki haqiqat ko kya bayan karti
kisi ka haal kisi se kaha nahin jata
hāl-e-dil yaar ko mahfil meñ sunā.eñ kyūñ-kar
mudda.ī kaan idhar aur udhar rakhte haiñ
haal-e-dil yar ko mahfil mein sunaen kyun-kar
muddai kan idhar aur udhar rakhte hain
hāl-e-dil sunte nahīñ ye kah ke ḳhush kar dete haiñ
phir kabhī fursat meñ sun leñge kahānī aap kī
haal-e-dil sunte nahin ye kah ke KHush kar dete hain
phir kabhi fursat mein sun lenge kahani aap ki
dil sabhī kuchh zabān par laayā
ik faqat arz-e-mudda.ā ke sivā
dil sabhi kuchh zaban par laya
ek faqat arz-e-muddaa ke siwa
iz.hār-e-hāl kā bhī zarīya nahīñ rahā
dil itnā jal gayā hai ki āñkhoñ meñ nam nahīñ
izhaar-e-haal ka bhi zariya nahin raha
dil itna jal gaya hai ki aankhon mein nam nahin
apnī saarī kāvishoñ ko rā.egāñ maiñ ne kiyā
mere andar jo na thā us ko bayāñ maiñ ne kiyā
apni sari kawishon ko raegan main ne kiya
mere andar jo na tha us ko bayan main ne kiya
kyā milā arz-e-mudda.ā se 'figār'
baat kahne se aur baat ga.ī
kya mila arz-e-muddaa se 'figar'
baat kahne se aur baat gai
mudda.ā iz.hār se khultā nahīñ hai
ye zabān-e-be-zabānī aur hai
muddaa izhaar se khulta nahin hai
ye zaban-e-be-zabani aur hai
pursish-e-hāl bhī itnī ki maiñ kuchh kah na sakūñ
is takalluf se karam ho to sitam hotā hai
pursish-e-haal bhi itni ki main kuchh kah na sakun
is takalluf se karam ho to sitam hota hai