Sher Examples
5 sher examples found

tirii mehrbaanii na achchhii ho kyuu.n kar
ki hai terii naa-mehrbaanii bhii achchhii

raah me.n bhii dekh kar mu.nh pher lete hai.n huzuur
aaj kal hai kis qadar naa-mehrbaanii aap kii

dam na niklaa yaar kii naa-mehrbaanii dekh kar
saKHt hairaa.n huu.n mai.n apnii saKHt-jaanii dekh kar

ruuThne aur ruuTh kar man.ne ke har andaaz kii
mehrbaanii yaad hai naa-mehrbaanii yaad hai

kyaa hame.n lagtii hai pyaarii jab vo kahtii hai 'naziir'
hai miyaa.n kuchh in dino.n naa-mehrbaanii aap kii