Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

best aaGosh shayari

maañ āġhosh meñ kal maut āġhosh meñ aaj

ham ko duniyā meñ ye do vaqt suhāne se mile

man ki aaghosh mein kal maut ki aaghosh mein aaj

hum ko duniya mein ye do waqt suhane se mile

Kaif Bhopali

aaj āġhosh meñ thā aur koī

der tak ham tujhe na bhuul sake

aaj aaghosh mein tha aur koi

der tak hum tujhe na bhul sake

Firaq Gorakhpuri

ġham-e-hayāt bhī āġhosh-e-husn-e-yār meñ hai

ye vo ḳhizāñ hai jo Duubī huī bahār meñ hai

gham-e-hayat bhi aaghosh-e-husn-e-yar mein hai

ye wo KHizan hai jo Dubi hui bahaar mein hai

Shakeel Badayuni

āġhosh hasrat ko bas dil meñ māruñgā

ab haath tirī ḳhātir phailā.ūñ to kuchh kahnā

aaghosh ki hasrat ko bas dil hi mein marunga

ab hath teri KHatir phailaun to kuchh kahna

Mushafi Ghulam Hamdani

raat din hai mirī āġhosh meñ

maiñ tirā sāhil mirā dariyā hai

raat din tu hai meri aaghosh mein

main tera sahil mera dariya hai tu

Mushafi Ghulam Hamdani

shab āġhosh meñ mahtāb utārā us ne

merī ā.ankhoñ meñ koī ḳhvāb utārā us ne

shab ki aaghosh mein mahtab utara us ne

meri aaankhon mein koi KHwab utara us ne

Azm Shakri

ye raushnī yūñhī āġhosh meñ nahīñ aatī

charāġh ban ke muñDeroñ pe jalnā paḌtā hai

ye raushni yunhi aaghosh mein nahin aati

charagh ban ke munDeron pe jalna paDta hai

Hasan Jameel

āġhosh siiñ sajan ke haman kuuñ kiyā kanār

māruñgā is raqīb kuuñ chhaḌiyoñ se god god

aaghosh sin sajan ke haman kun kiya kanar

marunga is raqib kun chhaDiyon se god god

Abroo Shah Mubarak

mirī zamīñ mujhe āġhosh meñ sameT bhī le

na āsmāñ rahūñ maiñ na āsmāñ merā

meri zamin mujhe aaghosh mein sameT bhi le

na aasman ka rahun main na aasman mera

Najeeb Ahmad

sote meñ vo jo mujh se ham-āġhosh ho ga.e

jitne gile the ḳhvāb-e-farāmosh ho ga.e

sote mein wo jo mujh se ham-aghosh ho gae

jitne gile the KHwab-e-faramosh ho gae

Jaleel Manikpuri

dhyān bāñdhūñ huuñ jo maiñ us ham-āġhoshī

der tak rahtī haiñ mizhgāñ mirī mizhgāñ se lipaT

dhyan bandhun hun jo main us ki ham-aghoshi ka

der tak rahti hain mizhgan meri mizhgan se lipaT

Mushafi Ghulam Hamdani

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now