Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Best Couplets on Zulmat

zulmatoñ meñ raushnī justujū karte raho

zindagī bhar zindagī justujū karte raho

zulmaton mein raushni ki justuju karte raho

zindagi bhar zindagi ki justuju karte raho

Anwar Sabri

laakh kahte raheñ zulmat ko na zulmat likhnā

ham ne sīkhā nahīñ pyāre ba-ijāzat likhnā

lakh kahte rahen zulmat ko na zulmat likhna

hum ne sikha nahin pyare ba-ijazat likhna

Habib Jalib

shikva-e-zulmat-e-shab se to kahīñ behtar thā

apne hisse koī sham.a jalāte jaate

shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha

apne hisse ki koi shama jalate jate

Ahmad Faraz

ġham-e-zamāna tirī zulmateñ kyā kam thiiñ

ki baḌh chale haiñ ab in gesuoñ ke bhī saa.e

gham-e-zamana teri zulmaten hi kya kam thin

ki baDh chale hain ab in gesuon ke bhi sae

Hafeez Hoshiarpuri

ik kāfir-e-mutlaq hai zulmat javānī bhī

be-rahm añdherā hai sham.eñ haiñ na parvāne

ek kafir-e-mutlaq hai zulmat ki jawani bhi

be-rahm andhera hai shamen hain na parwane

Siraj Lakhnavi

shab-e-firāq zulmat hai nā-gavār mujhe

naqāb uThā ki sahar hai intizār mujhe

shab-e-firaq ki zulmat hai na-gawar mujhe

naqab uTha ki sahar ka hai intizar mujhe

Anwar Sabri

zindagī zulmateñ apne lahū meñ rach ga.iiñ

tab kahīñ kar hameñ āñkhoñ bīnā.ī milī

zindagi ki zulmaten apne lahu mein rach gain

tab kahin ja kar hamein aankhon ki binai mili

Afzal Minhas

zulmateñ vahshat-e-fardā se niDhāl

DhūñDhtī phirtī haiñ ghar ḳhvāboñ

zulmaten wahshat-e-farda se niDhaal

DhunDhti phirti hain ghar KHwabon ka

Abdur Rauf Urooj

maiñ ne zulmat ke fusūñ se bhāgnā chāhā magar

mere pīchhe bhāgtī phirtī mirī rusvā.ī thī

main ne zulmat ke fusun se bhagna chaha magar

mere pichhe bhagti phirti meri ruswai thi

Taj Saeed

zulmatoñ guzar kahāñ mumkin

un raushan ḳhayāl aatā hai

zulmaton ka guzar kahan mumkin

un ka raushan KHayal aata hai

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now