Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Best Dhadkan Shayari

is tarah nigāheñ mat phero, aisā na ho dhaḌkan ruk jaa.e

siine meñ koī patthar to nahīñ ehsās mārā, dil to hai

is tarah nigahen mat phero, aisa na ho dhaDkan ruk jae

sine mein koi patthar to nahin ehsas ka mara, dil hi to hai

Sahir Ludhianvi

ye sardiyoñ udaas mausam ki dhaḌkaneñ barf ho ga.ī haiñ

jab un yaḳh-bastagī parakhnā tamāzateñ bhī shumār karnā

ye sardiyon ka udas mausam ki dhaDkanen barf ho gai hain

jab un ki yaKH-bastagi parakhna tamazaten bhi shumar karna

Noshi Gilani

parastish hai merī dhaḌkanoñ ne

tujhe maiñ ne faqat chāhā nahīñ hai

parastish ki hai meri dhaDkanon ne

tujhe main ne faqat chaha nahin hai

Farhat Shahzad

dil dhaḌkan bhī baḌī chiiz hai tanhā.ī meñ

terī khoī huī āvāz sunā karte haiñ

dil ki dhaDkan bhi baDi chiz hai tanhai mein

teri khoi hui aawaz suna karte hain

Shabnam Naqvi

ab to saaf suntā huuñ apne dil har dhaḌkan

aur kyā dikhā.egī ye tavīl tanhā.ī

ab to saf sunta hun apne dil ki har dhaDkan

aur kya dikhaegi ye tawil tanhai

Shahzad Ahmad

dil dhaḌkan bhī hai un ko nāgavār

un se kuchh kahne jur.at kyā kareñ

dil ki dhaDkan bhi hai un ko nagawar

un se kuchh kahne ki jurat kya karen

Salam Sandelvi

har ek lahza mirī dhaḌkanoñ meñ chubhtī thī

ajiib chiiz mire dil ke ās-pās rahī

har ek lahza meri dhaDkanon mein chubhti thi

ajib chiz mere dil ke aas-pas rahi

Bekal Utsahi

dil dhaḌkan mire māthe shikan hai ki nahīñ

rūh-e-taqdīr samajh ālam-e-taqdīr na dekh

dil ki dhaDkan mere mathe ki shikan hai ki nahin

ruh-e-taqdir samajh aalam-e-taqdir na dekh

Hazar Lakhnavi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now