Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 10 couplets of Khwaja Mohammad Wazir

Prominent 19th Century poet at Lucknow.

dekhnā hasrat-e-dīdār ise kahte haiñ

phir gayā muñh tirī jānib dam-e-murdan apnā

dekhna hasrat-e-didar ise kahte hain

phir gaya munh teri jaanib dam-e-murdan apna

Khwaja Mohammad Wazir

jis ko aate dekhtā huuñ ai parī kahtā huuñ maiñ

aadmī bhejā na ho mere bulāne ke liye

jis ko aate dekhta hun ai pari kahta hun main

aadmi bheja na ho mere bulane ke liye

Khwaja Mohammad Wazir

sar mirā kaaT ke pachhtā.iyegā

kis phir jhūTī qasam khā.iyegā

sar mera kaT ke pachhtaiyega

kis ki phir jhuTi qasam khaiyega

Khwaja Mohammad Wazir

jab ḳhafā hotā hai to yuuñ dil ko samjhātā huuñ maiñ

aaj hai nā-mehrbāñ kal mehrbāñ ho jā.egā

jab KHafa hota hai to yun dil ko samjhata hun main

aaj hai na-mehrban kal mehrban ho jaega

Khwaja Mohammad Wazir

zar diyā zor diyā maal diyā ganj diye

ai falak kaun se rāhat ke evaz rañj diye

zar diya zor diya mal diya ganj diye

ai falak kaun se rahat ke ewaz ranj diye

Khwaja Mohammad Wazir

but bhī na bhūleñ yaad ḳhudā bhī kījiye

paḌhiye namāz kar ke vuzū āb-e-gañg se

but bhi na bhulen yaad KHuda ki bhi kijiye

paDhiye namaz kar ke wuzu aab-e-gang se

Khwaja Mohammad Wazir

apne kūche meñ mujhe rone to de ai rashk-e-gul

bāġhbāñ paanī hamesha dete haiñ gulzār ko

apne kuche mein mujhe rone to de ai rashk-e-gul

baghban pani hamesha dete hain gulzar ko

Khwaja Mohammad Wazir

zamīñ bhī niklī jaatī hai mirī paañv ke nīche se

mujhe mushkil huā hai saath denā apne manzil

zamin bhi nikli jati hai meri panw ke niche se

mujhe mushkil hua hai sath dena apne manzil ka

Khwaja Mohammad Wazir

dekhā jise bismil kyā taakā jise maarā

us aañkh se Dariye jo ḳhudā se na Dare aañkh

dekha jise bismil kya taka jise mara

us aankh se Dariye jo KHuda se na Dare aankh

Khwaja Mohammad Wazir

dekh pachhtā.egā o but mire tarsāne se

uTh ke ka.abe ko chalā jā.ūñgā but-ḳhāne se

dekh pachhtaega o but mere tarsane se

uTh ke kabe ko chala jaunga but-KHane se

Khwaja Mohammad Wazir

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now