Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 10 couplets of Mahboob Khizan

Prominent poet of New Ghazal in Pakistan

ham aap qayāmat se guzar kyuuñ nahīñ jaate

jiine shikāyat hai to mar kyuuñ nahīñ jaate

hum aap qayamat se guzar kyun nahin jate

jine ki shikayat hai to mar kyun nahin jate

Mahboob Khizan

ek mohabbat kaafī hai

baaqī umr izāfī hai

ek mohabbat kafi hai

baqi umr izafi hai

Mahboob Khizan

tumheñ ḳhayāl nahīñ kis tarah batā.eñ tumheñ

ki saañs chaltī hai lekin udaas chaltī hai

tumhein KHayal nahin kis tarah bataen tumhein

ki sans chalti hai lekin udas chalti hai

Mahboob Khizan

mirī nigāh meñ kuchh aur DhūñDne vaale

tirī nigāh meñ kuchh aur DhūñDtā huuñ maiñ

meri nigah mein kuchh aur DhunDne wale

teri nigah mein kuchh aur DhunDta hun main

Mahboob Khizan

dekho duniyā hai dil hai

apnī apnī manzil hai

dekho duniya hai dil hai

apni apni manzil hai

Mahboob Khizan

dekhte haiñ be-niyāzāna guzar sakte nahīñ

kitne jiite is liye hoñge ki mar sakte nahīñ

dekhte hain be-niyazana guzar sakte nahin

kitne jite is liye honge ki mar sakte nahin

Mahboob Khizan

ulajhte rahne meñ kuchh bhī nahīñ thakan ke sivā

bahut haqīr haiñ ham tum baḌī hai ye duniyā

ulajhte rahne mein kuchh bhi nahin thakan ke siwa

bahut haqir hain hum tum baDi hai ye duniya

Mahboob Khizan

koī rasta kahīñ jaa.e to jāneñ

badalne ke liye raste bahut haiñ

koi rasta kahin jae to jaanen

badalne ke liye raste bahut hain

Mahboob Khizan

ghabrā na sitam se na karam se na adā se

har moḌ yahāñ raah dikhāne ke liye hai

ghabra na sitam se na karam se na ada se

har moD yahan rah dikhane ke liye hai

Mahboob Khizan

zaḳhm bigḌe to badan kaaT ke pheñk

varna kāñTā bhī mohabbat se nikāl

zaKHm bigDe to badan kaT ke phenk

warna kanTa bhi mohabbat se nikal

Mahboob Khizan

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now