Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 10 couplets of Sahir Dehlavi

Pandit Amar Nath Sahir one of the most prominent poets of Kashmiri Pandit community in Delhi famous for combining Sufi and Vedantic mysticism in his poetry.

mil-milā ke donoñ ne dil ko kar diyā barbād

husn ne kiyā be-ḳhud ishq ne kiyā āzād

mil-mila ke donon ne dil ko kar diya barbaad

husn ne kiya be-KHud ishq ne kiya aazad

Sahir Dehlavi

yuuñ to har diin meñ hai sāhab-e-īmāñ honā

ham ko ik but ne sikhāyā hai musalmāñ honā

yun to har din mein hai sahab-e-iman hona

hum ko ek but ne sikhaya hai musalman hona

Sahir Dehlavi

azal se ham-nafasī hai jo jān-e-jāñ se hameñ

payām dam-ba-dam aatā hai lā-makāñ se hameñ

azal se ham-nafasi hai jo jaan-e-jaan se hamein

payam dam-ba-dam aata hai la-makan se hamein

Sahir Dehlavi

ġham-e-maujūd ġhalat aur ġham-e-fardā bātil

rāhat ik ḳhvāb hai jis koī tābīr nahīñ

gham-e-maujud ghalat aur gham-e-farda baatil

rahat ek KHwab hai jis ki koi tabir nahin

Sahir Dehlavi

thā anal-haq lab-e-mansūr pe kyā aap se aap

thā jo parde meñ chhupā bol uThā aap se aap

tha anal-haq lab-e-mansur pe kya aap se aap

tha jo parde mein chhupa bol uTha aap se aap

Sahir Dehlavi

ahd-e-mīsāq lāzim hai adab ai vaa.iz

hai ye paimān-e-vafā rishta-e-zunnār na toḌ

ahd-e-misaq ka lazim hai adab ai waiz

hai ye paiman-e-wafa rishta-e-zunnar na toD

Sahir Dehlavi

jo lā-maz.hab ho us ko millat-o-mashrab se kyā matlab

mirā mashrab hai rindī riñd ko maz.hab se kyā matlab

jo la-mazhab ho us ko millat-o-mashrab se kya matlab

mera mashrab hai rindi rind ko mazhab se kya matlab

Sahir Dehlavi

maiñ dīvāna huuñ aur dair-o-haram se mujh ko vahshat hai

paḌī rahne do mere paañv meñ zanjīr-e-mai-ḳhāna

main diwana hun aur dair-o-haram se mujh ko wahshat hai

paDi rahne do mere panw mein zanjir-e-mai-KHana

Sahir Dehlavi

ai parī-rū tire dīvāne īmāñ kyā hai

ik nigāh-e-ġhalat-andāz pe qurbāñ honā

ai pari-ru tere diwane ka iman kya hai

ek nigah-e-ghalat-andaz pe qurban hona

Sahir Dehlavi

qulzum-e-fikr meñ hai kashtī-e-īmāñ sālim

nā-ḳhudā husn hai aur ishq hai lañgar apnā

qulzum-e-fikr mein hai kashti-e-iman salim

na-KHuda husn hai aur ishq hai langar apna

Sahir Dehlavi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now