Top 10 couplets of Saifuddin Saif
Pakistani poet and lyricist
'saif' andāz-e-bayāñ rañg badal detā hai
varna duniyā meñ koī baat na.ī baat nahīñ
'saif' andaz-e-bayan rang badal deta hai
warna duniya mein koi baat nai baat nahin
shor din ko nahīñ sone detā
shab ko sannāTā jagā detā hai
shor din ko nahin sone deta
shab ko sannaTa jaga deta hai
tum ko begāne bhī apnāte haiñ maiñ jāntā huuñ
mere apne bhī parā.e haiñ tumheñ kyā ma.alūm
tum ko begane bhi apnate hain main jaanta hun
mere apne bhi parae hain tumhein kya malum
kyā qayāmat hai hijr ke din bhī
zindagī meñ shumār hote haiñ
kya qayamat hai hijr ke din bhi
zindagi mein shumar hote hain
aaj kī raat vo aa.e haiñ baḌī der ke ba.ad
aaj kī raat baḌī der ke ba.ad aa.ī hai
aaj ki raat wo aae hain baDi der ke baad
aaj ki raat baDi der ke baad aai hai
zindagī kis tarah kaTegī 'saif'
raat kaTtī nazar nahīñ aatī
zindagi kis tarah kaTegi 'saif'
raat kaTti nazar nahin aati
hameñ ḳhabar hai vo mehmān ek raat kā hai
hamāre paas bhī sāmān ek raat kā hai
hamein KHabar hai wo mehman ek raat ka hai
hamare pas bhi saman ek raat ka hai
jis din se bhulā diyā hai tū ne
aatā hī nahīñ ḳhayāl apnā
jis din se bhula diya hai tu ne
aata hi nahin KHayal apna
tum ne dīvāna banāyā mujh ko
log afsāna banā.eñge tumheñ
tum ne diwana banaya mujh ko
log afsana banaenge tumhein
kyuuñ ujaḌ jaatī hai dil kī mahfil
ye diyā kaun bujhā detā hai
kyun ujaD jati hai dil ki mahfil
ye diya kaun bujha deta hai