Top 10 couplets of Syed Amin Ashraf
One of the prominent modern poet.
ik chāñd hai āvāra-o-betāb o falak-tāb
ik chāñd hai āsūdgī-e-hijr kā maarā
ek chand hai aawara-o-betab o falak-tab
ek chand hai aasudgi-e-hijr ka mara
hai tā-hadd-e-imkāñ koī bastī na bayābāñ
āñkhoñ meñ koī ḳhvāb dikhā.ī nahīñ detā
hai ta-hadd-e-imkan koi basti na bayaban
aankhon mein koi KHwab dikhai nahin deta
jise nā-ḳhvāb kahte haiñ usī ko ḳhvāb kahte haiñ
tamīz-e-ḳhair-o-shar meñ nukta-e-sad-motabar kyā hai
jise na-KHwab kahte hain usi ko KHwab kahte hain
tamiz-e-KHair-o-shar mein nukta-e-sad-motabar kya hai
lazzat-e-dīd ḳhudā jaane kahāñ le jaa.e
aañkh hotī hai to hotā nahīñ qaabū dil par
lazzat-e-did KHuda jaane kahan le jae
aankh hoti hai to hota nahin qabu dil par
kisī se ishq ho jaane ko afsāna nahīñ kahte
ki afsāne mata-e-kūcha-o-bāzār hote haiñ
kisi se ishq ho jaane ko afsana nahin kahte
ki afsane mata-e-kucha-o-bazar hote hain
halqa-e-shām-o-sahar se nahīñ jaane vaalā
dard is dīda-e-tar se nahīñ jaane vaalā
halqa-e-sham-o-sahar se nahin jaane wala
dard is dida-e-tar se nahin jaane wala
kahīñ bhī tā.ir-e-āvāra ho magar tai hai
jidhar kamāñ hai udhar jā.egā kabhī na kabhī
kahin bhi tair-e-awara ho magar tai hai
jidhar kaman hai udhar jaega kabhi na kabhi
havā kā tabsira ye sākinān-e-shahr pe thā
ajiib log haiñ paanī pe ghar banāte haiñ
hawa ka tabsira ye sakinan-e-shahr pe tha
ajib log hain pani pe ghar banate hain
hai irtibāt-shikan dā.eroñ meñ baT jaanā
chaman kā mauja-e-bād-e-sabā se kaT jaanā
hai irtibaat-shikan daeron mein baT jaana
chaman ka mauja-e-baad-e-saba se kaT jaana
ajab nahīñ ki ho dīvār nuqta-e-mauhūm
makān ho ki makīñ do diloñ kā milnā dekh
ajab nahin ki ho diwar nuqta-e-mauhum
makan ho ki makin do dilon ka milna dekh