be-shak hai raat
be-shak hai raat ek ghuTī huī raat
aur miTTī ke chehre kā rang uḌā huā
havā ghaTāoñ kī naujavān beTī pahāḌ se utar kar
mujh par dauḌī chalī aa rahī hai
be-shak raat kasī suuje hue badan ke mānind aur havā garam rukī huī
isī liye koī bhūlā huā musāfir apnā rāsta nahīñ pā saktā
ye tavīl bayābān jis kā badan phuñk rahā hai
apnī tunuk qabr meñ paḌe hue marde ke mānind hai
yā jaise merā hī dil jhulsā huā dil
mere hī thake hue jism meñ jo buḳhār kī shiddat se jal rahā hai
be-shak raat hai be-shak
be-shak hai raat ek ghuTi hui raat
aur miTTi ke chehre ka rang uDa hua
hawa ghaTaon ki naujawan beTi pahaD se utar kar
mujh par dauDi chali aa rahi hai
be-shak raat kasi suje hue badan ke manind aur hawa garam ruki hui
isi liye koi bhula hua musafir apna rasta nahin pa sakta
ye tawil bayaban jis ka badan phunk raha hai
apni tunuk qabr mein paDe hue marde ke manind hai
ya jaise mera hi dil jhulsa hua dil
mere hi thake hue jism mein jo buKHar ki shiddat se jal raha hai
be-shak raat hai be-shak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.