mai.n dil-girafta huu.n
maiñ dil-girafta huuñ
maiñ dil-girafta huuñ
maiñ jharoke se jā rahī huuñ
apnī uñglī raat kī kashīda jild par khīñchtī huī
rābte ke charāġh tārīk haiñ
rābte ke charāġh tārīk haiñ
koī sūraj se merā
ta'āruf nahīñ karā.egā
koī mujhe chiḌiyoñ ke ghar mehmān nahīñ le jā.egā
parvāz ko yādoñ ke havāle kar do
parinde mar jaate haiñ
main dil-girafta hun
main dil-girafta hun
main jharoke se ja rahi hun
apni ungli raat ki kashida jild par khinchti hui
rabte ke charagh tarik hain
rabte ke charagh tarik hain
koi suraj se mera
ta'aruf nahin karaega
koi mujhe chiDiyon ke ghar mehman nahin le jaega
parwaz ko yaadon ke hawale kar do
parinde mar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.