tujh se kahaa thaa mai.n ne kal ai be-naziir-e-KHush-liqaa

tujh se kahaa thaa mai.n ne kal ai be-naziir-e-KHush-liqaa
Maulana Jalaluddin Rumi
MORE BYMaulana Jalaluddin Rumi
tujh se kahā thā maiñ ne kal ai be-nazīr-e-ḳhush-liqā
ai rashk se tere falak par chāñd dohrā ho gayā
imroz tū jo kuchh bhī hai hājib thā tū sultāñ banā
tū yūsuf-e-kan'āñ banā tū husn-e-nūr-e-mustafā
imshab satā.ish maiñ ne kī kal hogī bartar ai parī
kal ye zamīn-o-āsmāñ tā'rīf meñ hoñge fanā
imshab ġhanīmat hai mujhe naukar huuñ maiñ chākar tirā
hoñge farishte hamd-ḳhvāñ kal 'arsh phāḌegā qabā
nāgāh sarsar aa.egī ye baam hogā aur na dar
miT jā.eñge sab bad-nafas kīḌe-makoḌoñ kī tarah
āñdhī chalegī jab tirī tābinda us meñ hogā tū
har zarra hañstā pā.egā us nuur meñ shamsuzzuhā
vo dil-rubā.ī pā.eñge pahle na thī un meñ kabhī
tā'līm zarre pā.eñge ai āftāb-e-ḳhush-liqā
tujh se kaha tha main ne kal ai be-nazir-e-KHush-liqa
ai rashk se tere falak par chand dohra ho gaya
imroz tu jo kuchh bhi hai hajib tha tu sultan bana
tu yusuf-e-kan'an bana tu husn-e-nur-e-mustafa
imshab sataish main ne ki kal hogi bartar ai pari
kal ye zamin-o-asman ta'rif mein honge fana
imshab ghanimat hai mujhe naukar hun main chaakar tera
honge farishte hamd-KHwan kal 'arsh phaDega qaba
nagah sarsar aaegi ye baam hoga aur na dar
miT jaenge sab bad-nafas kiDe-makoDon ki tarah
aandhi chalegi jab teri tabinda us mein hoga tu
har zarra hansta paega us nur mein shamsuzzuha
wo dil-rubai paenge pahle na thi un mein kabhi
ta'lim zarre paenge ai aaftab-e-KHush-liqa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.