jate jate ye nishani de gaya
jaate jaate ye nishānī de gayā
vo mirī āñkhoñ meñ paanī de gayā
jāgte lamhoñ kī chādar oḌh kar
koī ḳhvāboñ ko javānī de gayā
mere hāthoñ se khilaune chhīn kar
mujh ko zaḳhmoñ kī kahānī de gayā
hal na thā mushkil kā koī us ke paas
sirf va.ade āsmānī de gayā
ḳhud se sharminda mujhe honā paḌā
aa.ina jab merā saanī de gayā
mujh ko 'āzar' ik fareb-e-ārzū
ḳhūb-sūrat zindagānī de gayā
jate jate ye nishani de gaya
wo meri aankhon mein pani de gaya
jagte lamhon ki chadar oDh kar
koi KHwabon ko jawani de gaya
mere hathon se khilaune chhin kar
mujh ko zaKHmon ki kahani de gaya
hal na tha mushkil ka koi us ke pas
sirf wade aasmani de gaya
KHud se sharminda mujhe hona paDa
aaina jab mera sani de gaya
mujh ko 'azar' ek fareb-e-arzu
KHub-surat zindagani de gaya
- Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 152)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.