main wo daraKHt hun khata hai jo bhi phal mere
maiñ vo daraḳht huuñ khātā hai jo bhī phal mere
zarūr mujh se ye kahtā hai saath chal mere
ye kā.ināt tasarruf meñ thī rahe jab tak
nazar buland mirī faisle aTal mere
mujhe na dekh mirī baat sun ki mujh se haiñ
kahīñ kahīñ mutasādim bhī kuchh 'amal mere
bachā hī kyā huuñ maiñ āvāz rah gayā huuñ faqat
churā ke rang to sab le ga.ī ġhazal mere
ye tab kī baat hai jab tum se rābta bhī na thā
abhī hue na the ash'ār mubtazal mere
ye ḳhauf mujh ko uḌātā hai vaqt ke mānind
ki baiThne se na ho jaa.eñ paañv shal mere
vo din the aur na jaane vo kaun se din the
tire baġhair guzarte nahīñ the pal mere
kabhī milegā kahīñ shahr-e-ḳhvāb se bāhar
agar nahīñ to ḳhayāloñ se bhī nikal mere
maiñ kis tarah kā huuñ ye tū batā nahīñ saktā
magar ye tai hai ki haiñ yaar be-badal mere
jalā huuñ hijr ke sho'loñ meñ bār-hā ajmal
magar maiñ 'ishq huuñ jaate nahīñ haiñ bal mere
main wo daraKHt hun khata hai jo bhi phal mere
zarur mujh se ye kahta hai sath chal mere
ye kainat tasarruf mein thi rahe jab tak
nazar buland meri faisle aTal mere
mujhe na dekh meri baat sun ki mujh se hain
kahin kahin mutasadim bhi kuchh 'amal mere
bacha hi kya hun main aawaz rah gaya hun faqat
chura ke rang to sab le gai ghazal mere
ye tab ki baat hai jab tum se rabta bhi na tha
abhi hue na the ash'ar mubtazal mere
ye KHauf mujh ko uData hai waqt ke manind
ki baiThne se na ho jaen panw shal mere
wo din the aur na jaane wo kaun se din the
tere baghair guzarte nahin the pal mere
kabhi milega kahin shahr-e-KHwab se bahar
agar nahin to KHayalon se bhi nikal mere
main kis tarah ka hun ye tu bata nahin sakta
magar ye tai hai ki hain yar be-badal mere
jala hun hijr ke sho'lon mein bar-ha ajmal
magar main 'ishq hun jate nahin hain bal mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.