apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do
apne ehsās se chhū kar mujhe sandal kar do
maiñ ki sadiyoñ se adhūrā huuñ mukammal kar do
na tumheñ hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
is qadar TuuT ke chāho mujhe pāgal kar do
tum hathelī ko mire pyaar kī mehñdī se rañgo
apnī āñkhoñ meñ mire naam kā kājal kar do
is ke saa.e meñ mire ḳhvāb dahak uTTheñge
mere chehre pe chamaktā huā āñchal kar do
dhuup hī dhuup huuñ maiñ TuuT ke barso mujh par
is qadar barso mirī ruuh meñ jal-thal kar do
jaise sahrāoñ meñ har shaam havā chaltī hai
is tarah mujh meñ chalo aur mujhe jal-thal kar do
tum chhupā lo mirā dil oT meñ apne dil kī
aur mujhe merī nigāhoñ se bhī ojhal kar do
mas.ala huuñ to nigāheñ na churāo mujh se
apnī chāhat se tavajjoh se mujhe hal kar do
apne ġham se kaho har vaqt mire saath rahe
ek ehsān karo is ko musalsal kar do
mujh pe chhā jaao kisī aag kī sūrat jānāñ
aur mirī zaat ko sūkhā huā jañgal kar do
apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do
main ki sadiyon se adhura hun mukammal kar do
na tumhein hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
is qadar TuT ke chaho mujhe pagal kar do
tum hatheli ko mere pyar ki mehndi se rango
apni aankhon mein mere nam ka kajal kar do
is ke sae mein mere KHwab dahak uTThenge
mere chehre pe chamakta hua aanchal kar do
dhup hi dhup hun main TuT ke barso mujh par
is qadar barso meri ruh mein jal-thal kar do
jaise sahraon mein har sham hawa chalti hai
is tarah mujh mein chalo aur mujhe jal-thal kar do
tum chhupa lo mera dil oT mein apne dil ki
aur mujhe meri nigahon se bhi ojhal kar do
masala hun to nigahen na churao mujh se
apni chahat se tawajjoh se mujhe hal kar do
apne gham se kaho har waqt mere sath rahe
ek ehsan karo is ko musalsal kar do
mujh pe chha jao kisi aag ki surat jaanan
aur meri zat ko sukha hua jangal kar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.