KHayalistan-e-hasti mein agar gham hai KHushi bhi hai
ḳhayālistān-e-hastī meñ agar ġham hai ḳhushī bhī hai
kabhī āñkhoñ meñ aañsū haiñ kabhī lab par hañsī bhī hai
inhī ġham kī ghaTāoñ se ḳhushī kā chāñd niklegā
añdherī raat ke parde meñ din kī raushnī bhī hai
yūñhī takmīl hogī hashr tak tasvīr-e-hastī kī
har ik takmīl āḳhir meñ payām-e-nestī bhī hai
ye vo sāġhar hai sahbā-e-ḳhudī se pur nahīñ hotā
hamāre jām-e-hastī meñ sarishk-e-be-ḳhudī bhī hai
KHayalistan-e-hasti mein agar gham hai KHushi bhi hai
kabhi aankhon mein aansu hain kabhi lab par hansi bhi hai
inhi gham ki ghaTaon se KHushi ka chand niklega
andheri raat ke parde mein din ki raushni bhi hai
yunhi takmil hogi hashr tak taswir-e-hasti ki
har ek takmil aaKHir mein payam-e-nesti bhi hai
ye wo saghar hai sahba-e-KHudi se pur nahin hota
hamare jam-e-hasti mein sarishk-e-be-KHudi bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.