aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya
aaj phir gardish-e-taqdīr pe ronā aayā
dil kī bigḌī huī tasvīr pe ronā aayā
ishq kī qaid meñ ab tak to umīdoñ pe jiye
miT ga.ī aas to zanjīr pe ronā aayā
kyā hasīñ ḳhvāb mohabbat ne dikhāyā thā hameñ
khul ga.ī aañkh to tābīr pe ronā aayā
pahle qāsid kī nazar dekh ke dil sahm gayā
phir tirī surḳhi-e-tahrīr pe ronā aayā
dil gañvā kar bhī mohabbat ke maze mil na sake
apnī khoī huī taqdīr pe ronā aayā
kitne masrūr the jiine kī duāoñ pe 'shakīl'
jab mile rañj to tāsīr pe ronā aayā
aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya
dil ki bigDi hui taswir pe rona aaya
ishq ki qaid mein ab tak to umidon pe jiye
miT gai aas to zanjir pe rona aaya
kya hasin KHwab mohabbat ne dikhaya tha hamein
khul gai aankh to tabir pe rona aaya
pahle qasid ki nazar dekh ke dil sahm gaya
phir teri surKHi-e-tahrir pe rona aaya
dil ganwa kar bhi mohabbat ke maze mil na sake
apni khoi hui taqdir pe rona aaya
kitne masrur the jine ki duaon pe 'shakil'
jab mile ranj to tasir pe rona aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.