jab se tu ne mujhe diwana bana rakkha hai
jab se tū ne mujhe dīvāna banā rakkhā hai
sañg har shaḳhs ne hāthoñ meñ uThā rakkhā hai
us ke dil par bhī kaḌī ishq meñ guzrī hogī
naam jis ne bhī mohabbat kā sazā rakkhā hai
pattharo aaj mire sar pe baraste kyuuñ ho
maiñ ne tum ko bhī kabhī apnā ḳhudā rakkhā hai
ab mirī diid kī duniyā bhī tamāshā.ī hai
tū ne kyā mujh ko mohabbat meñ banā rakkhā hai
pī jā ayyām kī talḳhī ko bhī hañs kar 'nāsir'
ġham ko sahne meñ bhī qudrat ne mazā rakkhā hai
jab se tu ne mujhe diwana bana rakkha hai
sang har shaKHs ne hathon mein uTha rakkha hai
us ke dil par bhi kaDi ishq mein guzri hogi
nam jis ne bhi mohabbat ka saza rakkha hai
pattharo aaj mere sar pe baraste kyun ho
main ne tum ko bhi kabhi apna KHuda rakkha hai
ab meri did ki duniya bhi tamashai hai
tu ne kya mujh ko mohabbat mein bana rakkha hai
pi ja ayyam ki talKHi ko bhi hans kar 'nasir'
gham ko sahne mein bhi qudrat ne maza rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.