Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Dil

Reading these verses,

you would pass through various states that the human heart takes us through. You would wonder how these verses written by others are indeed the true voice of our own feelings. They seem to express our own desires and passion, sadness and deprivation, as also our experience of separation in the midst of an elusive hope for union.

dard-e-dil kyā bayāñ karūñ 'rashkī'

us ko kab e'tibār aatā hai

dard-e-dil kya bayan karun 'rashki'

us ko kab e'tibar aata hai

Mohammad Ali Khan Rashki

sukūn-e-dil ke liye ishq to bahāna thā

vagarna thak ke kahīñ to Thahar jaanā thā

sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha

wagarna thak ke kahin to Thahar hi jaana tha

Fatima Hasan

ishq choT kuchh dil pe asar ho to sahī

dard kam ho ziyāda ho magar ho to sahī

ishq ki choT ka kuchh dil pe asar ho to sahi

dard kam ho ya ziyaada ho magar ho to sahi

Jalal Lakhnavi

sunā hai shahar meñ zaḳhmī diloñ mela hai

chaleñge ham bhī magar pairahan rafū kar ke

suna hai shahar mein zaKHmi dilon ka mela hai

chalenge hum bhi magar pairahan rafu kar ke

Mohsin Naqvi

achchhī sūrat nazar aate machal jaatā hai

kisī aafat meñ na Daale dil-e-nāshād mujhe

achchhi surat nazar aate hi machal jata hai

kisi aafat mein na Dale dil-e-nashad mujhe

Jaleel Manikpuri

dil ke phaphūle jal uThe siine ke daaġh se

is ghar ko aag lag ga.ī ghar ke charāġh se

this hearts blisters are inflamed by its own desire

by its own lamp,alas, this house is set afire

dil ke phaphule jal uThe sine ke dagh se

is ghar ko aag lag gai ghar ke charagh se

this hearts blisters are inflamed by its own desire

by its own lamp,alas, this house is set afire

Mahtab Rai Taban

hañgāma-e-hayāt se jāñ-bar na ho sakā

ye dil ajiib dil hai ki patthar na ho sakā

hangama-e-hayat se jaan-bar na ho saka

ye dil ajib dil hai ki patthar na ho saka

Khalilur Rahman Azmi

dil dekhte us ko giraftār ho gayā

rusvā-e-shahr-o-kūcha-o-bāzār ho gayā

dil dekhte hi us ko giraftar ho gaya

ruswa-e-shahr-o-kucha-o-bazar ho gaya

Shaikh Zahuruddin Hatim

dil jahāñ baat kare dil jahāñ baat sune

kār-e-dushvār hai us tarz meñ kahnā achchhā

dil jahan baat kare dil hi jahan baat sune

kar-e-dushwar hai us tarz mein kahna achchha

Akhtar Husain Jafri

dil barbādiyoñ pe nāzāñ huuñ

fat.h kar shikast khaa.ī hai

dil ki barbaadiyon pe nazan hun

fath pa kar shikast khai hai

Shakeel Badayuni

ham ko na mil sakā to faqat ik sukūn-e-dil

ai zindagī vagarna zamāne meñ kyā na thā

hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil

ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha

Azad Ansari

dil mirā ḳhvāb-gāh-e-dilbar hai

bas yahī ek sone ghar hai

dil mera KHwab-gah-e-dilbar hai

bas yahi ek sone ka ghar hai

Lala Madhav Ram Jauhar

Dar gayā hai kuchh aisā hijr se

tum jo pahlū se uThe dil hil gayā

Dar gaya hai ji kuchh aisa hijr se

tum jo pahlu se uThe dil hil gaya

Jaleel Manikpuri

kaam ab koī na aa.egā bas ik dil ke sivā

rāste band haiñ sab kūcha-e-qātil ke sivā

kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa

raste band hain sab kucha-e-qatil ke siwa

Ali Sardar Jafri

na jaane kab tire dil par na.ī dastak ho

makān ḳhālī huā hai to koī aa.egā

na jaane kab tere dil par nai si dastak ho

makan KHali hua hai to koi aaega

Bashir Badr

dil ujḌī huī ek sarā.e tarah hai

ab log yahāñ raat jagāne nahīñ aate

dil ujDi hui ek sarae ki tarah hai

ab log yahan raat jagane nahin aate

Bashir Badr

maiñ jitnā DhūñDhtā huuñ us ko utnā nahīñ paatā

kidhar hai kis taraf hai aur kahāñ hai dil ḳhudā jaane

main jitna DhunDhta hun us ko utna hi nahin pata

kidhar hai kis taraf hai aur kahan hai dil KHuda jaane

Shaikh Zahuruddin Hatim

qāsid nahīñ ye kaam tirā apnī raah le

us payām dil ke sivā kaun sake

qasid nahin ye kaam tera apni rah le

us ka payam dil ke siwa kaun la sake

Khwaja Meer Dard

dil-e-marhūm ko ḳhudā baḳhshe

ek ġham-gusār thā na rahā

dil-e-marhum ko KHuda baKHshe

ek hi gham-gusar tha na raha

Fani Badayuni

mas.ala ye hai ki us ke dil meñ ghar kaise kareñ

darmiyāñ ke fāsle tai safar kaise kareñ

masala ye hai ki us ke dil mein ghar kaise karen

darmiyan ke fasle ka tai safar kaise karen

Farrukh Jafari

ek kiran bas raushniyoñ meñ sharīk nahīñ hotī

dil ke bujhne se duniyā tārīk nahīñ hotī

ek kiran bas raushniyon mein sharik nahin hoti

dil ke bujhne se duniya tarik nahin hoti

Zeb Ghauri

dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai

āḳhir is dard davā kyā hai

dil-e-nadan tujhe hua kya hai

aaKHir is dard ki dawa kya hai

Mirza Ghalib

dil us tār-e-zulf ke bal meñ ulajh gayā

suljhegā kis tarah se ye bistār hai ġhazab

dil us ki tar-e-zulf ke bal mein ulajh gaya

suljhega kis tarah se ye bistar hai ghazab

Shaikh Zahuruddin Hatim

ek safar vo hai jis meñ

paañv nahīñ dil thaktā hai

ek safar wo hai jis mein

panw nahin dil thakta hai

Ahmad Faraz

dil meñ na ho jur.at to mohabbat nahīñ miltī

ḳhairāt meñ itnī baḌī daulat nahīñ miltī

dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti

KHairaat mein itni baDi daulat nahin milti

Nida Fazli

ḳhafā dekhā hai us ko ḳhvāb meñ dil saḳht muztar hai

khilā de dekhiye kyā kyā gul-e-ta.abīr-e-ḳhvāb apnā

KHafa dekha hai us ko KHwab mein dil saKHt muztar hai

khila de dekhiye kya kya gul-e-tabir-e-KHwab apna

Nazeer Akbarabadi

dil vo sahrā hai jahāñ hasrat-e-sāya bhī nahīñ

dil vo duniyā hai jahāñ rañg hai ra.anā.ī hai

dil wo sahra hai jahan hasrat-e-saya bhi nahin

dil wo duniya hai jahan rang hai ranai hai

Atta Shad

dam-ba-dam uThtī haiñ kis yaad lahreñ dil meñ

dard rah rah ke ye karvaT badaltā kyā hai

dam-ba-dam uThti hain kis yaad ki lahren dil mein

dard rah rah ke ye karwaT si badalta kya hai

Jamal Panipati

āġhāz-e-mohabbat anjām bas itnā hai

jab dil meñ tamannā thī ab dil tamannā hai

aaghaz-e-mohabbat ka anjam bas itna hai

jab dil mein tamanna thi ab dil hi tamanna hai

Jigar Moradabadi

kyā rashk hai ki ek hai ek mudda.ī

tum dil meñ ho to dard hamāre jigar meñ hai

kya rashk hai ki ek ka hai ek muddai

tum dil mein ho to dard hamare jigar mein hai

Hijr Nazim Ali Khan

dard ho dil meñ to davā kiije

aur jo dil na ho to kyā kiije

dard ho dil mein to dawa kije

aur jo dil hi na ho to kya kije

Manzar Lakhnavi

puurī hotī haiñ tasavvur meñ umīdeñ kyā kyā

dil meñ sab kuchh hai magar pesh-e-nazar kuchh bhī nahīñ

puri hoti hain tasawwur mein umiden kya kya

dil mein sab kuchh hai magar pesh-e-nazar kuchh bhi nahin

Lala Madhav Ram Jauhar

mohabbat rañg de jaatī hai jab dil dil se miltā hai

magar mushkil to ye hai dil baḌī mushkil se miltā hai

mohabbat rang de jati hai jab dil dil se milta hai

magar mushkil to ye hai dil baDi mushkil se milta hai

Jaleel Manikpuri

behtar to hai yahī ki na duniyā se dil lage

par kyā kareñ jo kaam na be-dil-lagī chale

behtar to hai yahi ki na duniya se dil lage

par kya karen jo kaam na be-dil-lagi chale

Shaikh Ibrahim Zauq

mujh ko na dil pasand na vo bevafā pasand

donoñ haiñ ḳhud-ġharaz mujhe donoñ haiñ nā-pasand

mujh ko na dil pasand na wo bewafa pasand

donon hain KHud-gharaz mujhe donon hain na-pasand

Bekhud Dehlvi

roz-e-jazā gila to kyā shukr-e-sitam ban paḌā

haa.e ki dil ke dard ne dard ko dil banā diyā

roz-e-jaza gila to kya shukr-e-sitam hi ban paDa

hae ki dil ke dard ne dard ko dil bana diya

Fani Badayuni

dil meñ vo bhiiḌ hai ki zarā bhī nahīñ jagah

aap aa.iye magar koī armāñ nikāl ke

dil mein wo bhiD hai ki zara bhi nahin jagah

aap aaiye magar koi arman nikal ke

Jaleel Manikpuri

dil liyā hai to ḳhudā ke liye kah do sāhab

muskurāte ho tumhīñ par mirā shak jaatā hai

dil liya hai to KHuda ke liye kah do sahab

muskuraate ho tumhin par mera shak jata hai

Habeeb Moosavi

dil diyā jis ne kisī ko vo huā sāhib-e-dil

haath aa jaatī hai kho dene se daulat dil

dil diya jis ne kisi ko wo hua sahib-e-dil

hath aa jati hai kho dene se daulat dil ki

Aasi Ghazipuri

meñ jo aatī hai kar guzro kahīñ aisā na ho

kal pashemāñ hoñ ki kyuuñ dil kahā maanā nahīñ

ji mein jo aati hai kar guzro kahin aisa na ho

kal pasheman hon ki kyun dil ka kaha mana nahin

Ahmad Faraz

unheñ apne dil ḳhabreñ mire dil se mil rahī haiñ

maiñ jo un se ruuTh jā.ūñ to payām tak na pahuñche

unhen apne dil ki KHabren mere dil se mil rahi hain

main jo un se ruTh jaun to payam tak na pahunche

Shakeel Badayuni

dekho duniyā hai dil hai

apnī apnī manzil hai

dekho duniya hai dil hai

apni apni manzil hai

Mahboob Khizan

aarzū terī barqarār rahe

dil kyā hai rahā rahā na rahā

aarzu teri barqarar rahe

dil ka kya hai raha raha na raha

Hasrat Mohani

vo baat zarā jise kahte haiñ ġham-e-dil

samjhāne meñ ik umr guzar jaa.e hai pyāre

wo baat zara si jise kahte hain gham-e-dil

samjhane mein ek umr guzar jae hai pyare

Kaleem Aajiz

abhī raah meñ ka.ī moḌ haiñ koī aa.egā koī jā.egā

tumheñ jis ne dil se bhulā diyā use bhūlne duā karo

abhi rah mein kai moD hain koi aaega koi jaega

tumhein jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo

Bashir Badr

ye dil hai mirā kisī kuTiyā diyā hai

bujhtā hai dam-e-sub.h to jaltā hai sar-e-shām

ye dil hai mera ya kisi kuTiya ka diya hai

bujhta hai dam-e-subh to jalta hai sar-e-sham

Hafiz Taib

raheñ is meñ apne ghar tarah

mire dil meñ aap ghar na kareñ

ya rahen is mein apne ghar ki tarah

ya mere dil mein aap ghar na karen

Josh Malsiani

ḳhamoshī dil ko hai furqat meñ din raat

ghaḌī rahtī hai ye āThoñ pahar band

KHamoshi dil ko hai furqat mein din raat

ghaDi rahti hai ye aaThon pahar band

Lala Madhav Ram Jauhar

dil ko ma.alūm hai kyā baat batānī hai use

us se kyā baat chhupānī hai zabāñ jāntī hai

dil ko malum hai kya baat batani hai use

us se kya baat chhupani hai zaban jaanti hai

Arshad Abdul Hamid

dil nā-umīd to nahīñ nākām to hai

lambī hai ġham shaam magar shaam to hai

dil na-umid to nahin nakaam hi to hai

lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai

Faiz Ahmad Faiz

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now