Sher on Teachers’ Day

A teacher is not just the one who imparts knowledge; he also symbolises an institution. Along with the taught, the teacher creates a complex of meaning which makes life and living meaningful. Some verses on teacher will bring you close to a variety of ideas that define life and the purpose of our living.

maañ baap aur ustād sab haiñ ḳhudā rahmat

hai rok-Tok un haq meñ tumhāre ne.amat

man bap aur ustad sab hain KHuda ki rahmat

hai rok-Tok un ki haq mein tumhaare neamat

Altaf Hussain Hali

jin ke kirdār se aatī ho sadāqat mahak

un tadrīs se patthar bhī pighal sakte haiñ

jin ke kirdar se aati ho sadaqat ki mahak

un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain

Unknown

shāgird haiñ ham 'mīr' se ustād ke 'rāsiḳh'

ustādoñ ustād hai ustād hamārā

shagird hain hum 'mir' se ustad ke 'rasiKH'

ustadon ka ustad hai ustad hamara

Rasikh Azimabadi

adab ta.alīm jauhar hai zevar hai javānī

vahī shāgird haiñ jo ḳhidmat-e-ustād karte haiñ

adab talim ka jauhar hai zewar hai jawani ka

wahi shagird hain jo KHidmat-e-ustad karte hain

Chakbast Brij Narayan

dekhā na kohkan koī farhād ke baġhair

aatā nahīñ hai fan koī ustād ke baġhair

dekha na kohkan koi farhad ke baghair

aata nahin hai fan koi ustad ke baghair

Unknown

vahī shāgird phir ho jaate haiñ ustād ai 'jauhar'

jo apne jān-o-dil se ḳhidmat-e-ustād karte haiñ

wahi shagird phir ho jate hain ustad ai 'jauhar'

jo apne jaan-o-dil se KHidmat-e-ustad karte hain

Lala Madhav Ram Jauhar

rahbar bhī ye hamdam bhī ye ġham-ḳhvār hamāre

ustād ye qaumoñ ke haiñ me.amār hamāre

rahbar bhi ye hamdam bhi ye gham-KHwar hamare

ustad ye qaumon ke hain meamar hamare

Unknown

ab mujhe māneñ na māneñ ai 'hafīz'

mānte haiñ sab mire ustād ko

ab mujhe manen na manen ai 'hafiz'

mante hain sab mere ustad ko

Hafeez Jalandhari

ustād ke ehsān kar shukr 'munīr' aaj

ahl-e-suḳhan ne tirī tārīf baḌī baat

ustad ke ehsan ka kar shukr 'munir' aaj

ki ahl-e-suKHan ne teri tarif baDi baat

Muneer Shikohabadi

mahrūm huuñ maiñ ḳhidmat-e-ustād se 'munīr'

kalkatta mujh ko gor se bhī tañg ho gayā

mahrum hun main KHidmat-e-ustad se 'munir'

kalkatta mujh ko gor se bhi tang ho gaya

Muneer Shikohabadi

kis tarah 'amānat' na rahūñ ġham se maiñ dil-gīr

āñkhoñ meñ phirā kartī hai ustād sūrat

kis tarah 'amanat' na rahun gham se main dil-gir

aankhon mein phira karti hai ustad ki surat

Amanat Lakhnavi

ye fann-e-ishq hai aave use tīnat meñ jis ho

zāhid pīr-e-nā-bāliġh hai be-tah tujh ko kyā aave

ye fann-e-ishq hai aawe use tinat mein jis ki ho

tu zahid pir-e-na-baaligh hai be-tah tujh ko kya aawe

Meer Taqi Meer

mū-e-juz 'mīr' jo the fan ke ustād

yahī ik reḳhta-go ab rahā hai

mu-e-juz 'mir' jo the fan ke ustad

yahi ek reKHta-go ab raha hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi

GET YOUR FREE PASS
Speak Now