aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
zarā ruuTh jaane pe itnī ḳhushāmad
'qamar' tum bigāḌoge aadat kisī kī
zara ruTh jaane pe itni KHushamad
'qamar' tum bigaDoge aadat kisi ki
maiñ roz idhar se guzartā huuñ kaun dekhtā hai
maiñ jab idhar se na guzrūñgā kaun dekhegā
main roz idhar se guzarta hun kaun dekhta hai
main jab idhar se na guzrunga kaun dekhega
qubūl kaise karūñ un kā faisla ki ye log
mire ḳhilāf hī merā bayān māñgte haiñ
qubul kaise karun un ka faisla ki ye log
mere KHilaf hi mera bayan mangte hain
TuuTe but masjid banī mismār but-ḳhāna huā
jab to ik sūrat bhī thī ab saaf vīrāna huā
TuTe but masjid bani mismar but-KHana hua
jab to ek surat bhi thi ab saf virana hua
kahīñ zamīñ se ta.alluq na ḳhatm ho jaa.e
bahut na ḳhud ko havā meñ uchhāliye sāhib
kahin zamin se talluq na KHatm ho jae
bahut na KHud ko hawa mein uchhaaliye sahib
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books