aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
shab-e-intizār āḳhir kabhī hogī muḳhtasar bhī
ye charāġh bujh rahe haiñ mire saath jalte jalte
shab-e-intizar aaKHir kabhi hogi muKHtasar bhi
ye charagh bujh rahe hain mere sath jalte jalte
tire bhuul jaane kī aadat ke sadqe
tujhe bhuul jaane ko jī chāhtā hai
tere bhul jaane ki aadat ke sadqe
tujhe bhul jaane ko ji chahta hai
hamesha aap ko samjhā ki aap apne haiñ
hamesha aap ne samjhā ki dūsre haiñ ham
hamesha aap ko samjha ki aap apne hain
hamesha aap ne samjha ki dusre hain hum
chaTak meñ ġhunche kī vo saut-e-jāñ-fazā to nahīñ
sunī hai pahle bhī āvāz ye kahīñ maiñ ne
chaTak mein ghunche ki wo saut-e-jaan-faza to nahin
suni hai pahle bhi aawaz ye kahin main ne
tumhārī baat se itnā bhī dukh nahīñ pahuñchā
magar jo pahuñchā tumhārī vazāhatoñ se mujhe
tumhaari baat se itna bhi dukh nahin pahuncha
magar jo pahuncha tumhaari wazahaton se mujhe
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books