aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
tum ko hamāre haal kī hai jis qadar ḳhabar
utnī hamāre haal kī ham ko ḳhabar nahīñ
tum ko hamare haal ki hai jis qadar KHabar
utni hamare haal ki hum ko KHabar nahin
apnī tasdīq mujhe terī gavāhī se huī
tū kahāñ se mire hone kī ḳhabar laayā hai
apni tasdiq mujhe teri gawahi se hui
tu kahan se mere hone ki KHabar laya hai
hañste hañste nikal paḌe aañsū
rote rote kabhī hañsī aa.ī
hanste hanste nikal paDe aansu
rote rote kabhi hansi aai
na hañsne de na rone de na jiine de na marne de
isī ko istilāhan ham zamāna kahte aa.e haiñ
na hansne de na rone de na jine de na marne de
isi ko istilahan hum zamana kahte aae hain
us aa.ine meñ thā sarsabz baaġh kā manzar
chhuā jo maiñ ne to do titliyāñ nikal aa.iiñ
us aaine mein tha sarsabz bagh ka manzar
chhua jo main ne to do titliyan nikal aain
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books