aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
dekh rahā thā jaate jaate hasrat se
soch rahā hogā maiñ us ko rokūñgā
dekh raha tha jate jate hasrat se
soch raha hoga main us ko rokunga
ik ġhazal likkhī to ġham koī purānā jaagā
phir usī ġham ke sabab ek ġhazal aur kahī
ek ghazal likkhi to gham koi purana jaga
phir usi gham ke sabab ek ghazal aur kahi
kis ko batā.eñ ab ki na chal kar tamām umr
ham ne ḳhud apne aap meñ kitnā safar kiyā
kis ko bataen ab ki na chal kar tamam umr
hum ne KHud apne aap mein kitna safar kiya
muḳhtasar paḌhne kī kyoñ shā'ir se farmā.ish rahe
utne hī shā'ir bulā.eñ jitnī gunjā.ish rahe
muKHtasar paDhne ki kyon sha'ir se farmaish rahe
utne hi sha'ir bulaen jitni gunjaish rahe
ye kaisī fasāhat ki samajh meñ nahīñ aatī
tahrīr-e-mohabbat zarā āsān likhā kar
ye kaisi fasahat ki samajh mein nahin aati
tahrir-e-mohabbat zara aasan likha kar
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books