aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
charāġh sāmne vaale makān meñ bhī na thā
ye sāneha mire vahm-o-gumān meñ bhī na thā
charagh samne wale makan mein bhi na tha
ye saneha mere wahm-o-guman mein bhi na tha
chalte rahe to kaun sā apnā kamāl thā
ye vo safar thā jis meñ Thaharnā muhāl thā
chalte rahe to kaun sa apna kamal tha
ye wo safar tha jis mein Thaharna muhaal tha
jin ke baġhair lagtī thī be-kār zindagī
un se hī baat karne kī hasrat nahīñ rahī
jin ke baghair lagti thi be-kar zindagi
un se hi baat karne ki hasrat nahin rahi
kin darīchoñ ke charāġhoñ se hameñ nisbat thī
ki abhī jal nahīñ paa.e ki bujhā.e ga.e ham
kin darichon ke charaghon se hamein nisbat thi
ki abhi jal nahin pae ki bujhae gae hum
aarzū thī khīñchte ham bhī koī aks-e-hayāt
kyā kareñ ab ke lahū āñkhoñ se Tapkā hī nahīñ
aarzu thi khinchte hum bhi koi aks-e-hayat
kya karen ab ke lahu aankhon se Tapka hi nahin
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books