aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ye dushmanī hai saaqī yā dostī hai saaqī
auroñ ko jaam denā mujh ko dikhā dikhā ke
ye dushmani hai saqi ya dosti hai saqi
auron ko jam dena mujh ko dikha dikha ke
ab mujh se kārobār kī hālat na pūchhiye
ā.īna bechtā huuñ maiñ andhoñ ke shahar meñ
ab mujh se karobar ki haalat na puchhiye
aaina bechta hun main andhon ke shahar mein
ye bhī ik rang hai shāyad mirī mahrūmī kā
koī hañs de to mohabbat kā gumāñ hotā hai
ye bhi ek rang hai shayad meri mahrumi ka
koi hans de to mohabbat ka guman hota hai
us ke baa'd aglī qayāmat kyā hai kis ko hosh hai
zaḳhm sahlātā thā aur ab daaġh dikhlātā huuñ maiñ
us ke ba'd agli qayamat kya hai kis ko hosh hai
zaKHm sahlata tha aur ab dagh dikhlata hun main
ġham-gusārī ke liye ab nahīñ aatā hai koī
zaḳhm bhar jaane kā imkāñ na huā thā so huā
gham-gusari ke liye ab nahin aata hai koi
zaKHm bhar jaane ka imkan na hua tha so hua
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books