aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
baaqī abhī hai karb kā ik aur marhala
mahsūs jo kiyā hai use sochnā bhī hai
baqi abhi hai karb ka ek aur marhala
mahsus jo kiya hai use sochna bhi hai
maiñ raushnī pe zindagī kā naam likh ke aa gayā
use miTā miTā ke ye siyāh raat thak ga.ī
main raushni pe zindagi ka nam likh ke aa gaya
use miTa miTa ke ye siyah raat thak gai
jab se us ne shahr ko chhoḌā har rasta sunsān huā
apnā kyā hai saare shahr kā ik jaisā nuqsān huā
jab se us ne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua
apna kya hai sare shahr ka ek jaisa nuqsan hua
zard mausam ne daraḳhtoñ kī zabāñ sil dī thī
phir koī phuul hañsā aur ḳhizāñ haar ga.ī
zard mausam ne daraKHton ki zaban sil di thi
phir koi phul hansa aur KHizan haar gai
shauq hai tujh ko zamāne meñ tirā naam rahe
aur mujhe Dar hai mohabbat mirī bad-nām na ho
shauq hai tujh ko zamane mein tera nam rahe
aur mujhe Dar hai mohabbat meri bad-nam na ho
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books