aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
sab kuchh ḳhudā se maañg liyā tujh ko maañg kar
uThte nahīñ haiñ haath mire is duā ke ba.ad
sab kuchh KHuda se mang liya tujh ko mang kar
uThte nahin hain hath mere is dua ke baad
dekhnā kaise humakne lage saare patthar
merī vahshat ko tumhārī galī pahchāntī hai
dekhna kaise humakne lage sare patthar
meri wahshat ko tumhaari gali pahchanti hai
kah to saktā huuñ magar majbūr kar saktā nahīñ
iḳhtiyār apnī jagah hai bebasī apnī jagah
kah to sakta hun magar majbur kar sakta nahin
iKHtiyar apni jagah hai bebasi apni jagah
aisā nahīñ ki maiñ koī gumnām shaḳhs huuñ
sab jānte haiñ mujh ko maiñ ik ‘aam shaḳhs huuñ
aisa nahin ki main koi gumnam shaKHs hun
sab jaante hain mujh ko main ek ‘am shaKHs hun
hamāre jitne bachche the parinde ho ga.e saare
ye vo ghar hai jahāñ par ab koī bachcha nahīñ rahtā
hamare jitne bachche the parinde ho gae sare
ye wo ghar hai jahan par ab koi bachcha nahin rahta
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books