aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
maiñ to is vāste chup huuñ ki tamāshā na bane
tū samajhtā hai mujhe tujh se gilā kuchh bhī nahīñ
main to is waste chup hun ki tamasha na bane
tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuchh bhi nahin
us kī album meñ to tasvīr mirī hai maujūd
us ne tasvīr ko siine se lagāyā na kabhī
us ki album mein to taswir meri hai maujud
us ne taswir ko sine se lagaya na kabhi
behtar dinoñ kī aas lagāte hue 'habīb'
ham behtarīn din bhī gañvāte chale ga.e
behtar dinon ki aas lagate hue 'habib'
hum behtarin din bhi ganwate chale gae
jo tū kahe to shikāyat kā zikr kam kar deñ
magar yaqīñ tire va.adoñ pe lā nahīñ sakte
jo tu kahe to shikayat ka zikr kam kar den
magar yaqin tere wadon pe la nahin sakte
tujh se milne kā rāsta bas ek
aur bichhaḌne ke rāste haiñ bahut
tujh se milne ka rasta bas ek
aur bichhaDne ke raste hain bahut
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books