aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
uḌ jā.ūñgā bahār meñ mānind-e-bū-e-gul
zanjīr mere pā-e-junūñ meñ hazār Daal
uD jaunga bahaar mein manind-e-bu-e-gul
zanjir mere pa-e-junun mein hazar Dal
sahar ko uThte haiñ vo dekh kar kaf-e-rañgīñ
ab aa.ine pe bhī sikke hinā ke baiTh ga.e
sahar ko uThte hain wo dekh kar kaf-e-rangin
ab aaine pe bhi sikke hina ke baiTh gae
vābasta merī yaad se kuchh talḳhiyāñ bhī thiiñ
achchhā kiyā ki mujh ko farāmosh kar diyā
wabasta meri yaad se kuchh talKHiyan bhi thin
achchha kiya ki mujh ko faramosh kar diya
hañs diye sun ke fasāna dil kā
aur vo is ke sivā kyā karte
hans diye sun ke fasana dil ka
aur wo is ke siwa kya karte
tire va.adoñ pe kahāñ tak mirā dil fareb khaa.e
koī aisā kar bahāna mirī aas TuuT jaa.e
tere wadon pe kahan tak mera dil fareb khae
koi aisa kar bahana meri aas TuT jae
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books