aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
tire ufuq pe sadā sub.h jagmagātī rahe
jahāñ pe maiñ huuñ vahāñ shaam hone vaalī hai
tere ufuq pe sada subh jagmagati rahe
jahan pe main hun wahan sham hone wali hai
vo aur haiñ kināroñ pe paate haiñ jo sukūñ
ham ko qarār miltā hai tūfāñ kī god meñ
wo aur hain kinaron pe pate hain jo sukun
hum ko qarar milta hai tufan ki god mein
rāh-rau bach ke chal daraḳhtoñ se
dhuup dushman nahīñ hai saa.e haiñ
rah-rau bach ke chal daraKHton se
dhup dushman nahin hai sae hain
apne hone se bhī inkār kiye jaate haiñ
tere hone kā yaqīñ ḳhud ko dilāte hue ham
apne hone se bhi inkar kiye jate hain
tere hone ka yaqin KHud ko dilate hue hum
hinā.ī haath se āñchal sambhāle
ye sharmātā huā kaun aa rahā hai
hinai hath se aanchal sambhaale
ye sharmata hua kaun aa raha hai
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books