aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
dānista ham ne apne sabhī ġham chhupā liye
pūchhā kisī ne haal to bas muskurā diye
danista hum ne apne sabhi gham chhupa liye
puchha kisi ne haal to bas muskura diye
saaf inkār agar ho to tasallī ho jaa.e
jhūTe va.adoñ se tire ranj sivā hotā hai
saf inkar agar ho to tasalli ho jae
jhuTe wadon se tere ranj siwa hota hai
betābiyāñ sameT ke saare jahān kī
jab kuchh na ban sakā to mirā dil banā diyā
betabiyan sameT ke sare jahan ki
jab kuchh na ban saka to mera dil bana diya
dil meñ hai mulāqāt kī ḳhvāhish kī dabī aag
mehñdī lage hāthoñ ko chhupā kar kahāñ rakkhūñ
dil mein hai mulaqat ki KHwahish ki dabi aag
mehndi lage hathon ko chhupa kar kahan rakkhun
dil ko tirī chāhat pe bharosa bhī bahut hai
aur tujh se bichhaḌ jaane kā Dar bhī nahīñ jaatā
dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujh se bichhaD jaane ka Dar bhi nahin jata
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books