aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
kis liye kiije kisī gum-gashta jannat kī talāsh
jab ki miTTī ke khilaunoñ se bahal jaate haiñ log
kis liye kije kisi gum-gashta jannat ki talash
jab ki miTTi ke khilaunon se bahal jate hain log
musalmāñ thā magar terī adā-e-fitna-parvar ne
dikhā kar kākul-e-pechāñ mujhe kāfir banā Daalā
musalman tha magar teri ada-e-fitna-parwar ne
dikha kar kakul-e-pechan mujhe kafir bana Dala
nasheman par nasheman is qadar tā'mīr kartā jā
ki girte girte bijlī aap ḳhud be-zār ho jaa.e
nasheman par nasheman is qadar ta'mir karta ja
ki girte girte bijli aap KHud be-zar ho jae
vazn har chiiz kī tauqīr baḌhā detā hai
zindagī bojh sahī phir bhī uThā.e rakhiye
wazn har chiz ki tauqir baDha deta hai
zindagi bojh sahi phir bhi uThae rakhiye
dāstān-e-husn jab phailī to lā-mahdūd thī
aur jab simTī to terā naam ho kar rah ga.ī
dastan-e-husn jab phaili to la-mahdud thi
aur jab simTi to tera nam ho kar rah gai
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books