aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ham ko bhī ho chalā thā vafāoñ kā kuchh yaqīñ
lekin vo muskurā diye ahd-e-vafā ke ba.ad
hum ko bhi ho chala tha wafaon ka kuchh yaqin
lekin wo muskura diye ahd-e-wafa ke baad
kahā maiñ ne ki jannat par razā-e-dost faa.iq hai
razā-e-dost bolī be-ḳhabar maiñ hī to jannat huuñ
kaha main ne ki jannat par raza-e-dost faiq hai
raza-e-dost boli be-KHabar main hi to jannat hun
aarzū kī ye sazā hai ki zamāna hai ḳhilāf
un se milne kī ḳhudā jaane sazā kyā hogī
aarzu ki ye saza hai ki zamana hai KHilaf
un se milne ki KHuda jaane saza kya hogi
ab tire shahr meñ rahnā koī āsān kahāñ
sab mujhe tere havāle hī se pahchānte haiñ
ab tere shahr mein rahna koi aasan kahan
sab mujhe tere hawale hi se pahchante hain
maiñ lauTne ke irāde se jā rahā huuñ magar
safar safar hai mirā intizār mat karnā
intent on returning
a journey is a journey so do not wait for me
main lauTne ke irade se ja raha hun magar
safar safar hai mera intizar mat karna
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books