aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
maiñ to is vāste chup huuñ ki tamāshā na bane
tū samajhtā hai mujhe tujh se gilā kuchh bhī nahīñ
main to is waste chup hun ki tamasha na bane
tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuchh bhi nahin
muddatoñ baad jo is raah se guzrā huuñ 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiyā hai maiñ ne
muddaton baad jo is rah se guzra hun 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiya hai main ne
khīñch laa.ī hai mohabbat tire dar par mujh ko
itnī āsānī se varna kise hāsil huā maiñ
khinch lai hai mohabbat tere dar par mujh ko
itni aasani se warna kise hasil hua main
ai mohtasib namāz-e-mohabbat kā vaqt hai
dil bā-vuzū hai aur ġhazal keh rahā huuñ maiñ
ai mohtasib namaz-e-mohabbat ka waqt hai
dil ba-wuzu hai aur ghazal keh raha hun main
aaj ġhālib hai mire sar par ishq
aaj maiñ 'mīr' huā chāhtā huuñ
aaj ghaalib hai mere sar par ishq
aaj main 'mir' hua chahta hun
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books