aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
junūñ bhī zahmat ḳhirad bhī la.anat hai zaḳhm-e-dil kī davā mohabbat
harīm-e-jāñ meñ tavāf-e-paiham yahī hai andāz-e-āshiqāna
junun bhi zahmat KHirad bhi lanat hai zaKHm-e-dil ki dawa mohabbat
harim-e-jaan mein tawaf-e-paiham yahi hai andaz-e-ashiqana
ujāloñ ko DhūñDo sahar ko pukāro
añdheroñ meñ rone se kyā fā.eda hai
ujalon ko DhunDo sahar ko pukaro
andheron mein rone se kya faeda hai
tumhāre āshiqoñ meñ be-qarārī kyā hī phailī hai
jidhar dekho jigar thāme hue do-chār baiThe haiñ
tumhaare aashiqon mein be-qarari kya hi phaili hai
jidhar dekho jigar thame hue do-chaar baiThe hain
ab tujhe kaise batā.eñ ki tirī yādoñ meñ
kuchh izāfa hī kiyā ham ne ḳhayānat nahīñ kī
ab tujhe kaise bataen ki teri yaadon mein
kuchh izafa hi kiya hum ne KHayanat nahin ki
tamām hosh kī duniyā nisār hai us par
tirī galī meñ jise niiñd aa ga.ī hogī
tamam hosh ki duniya nisar hai us par
teri gali mein jise nind aa gai hogi
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books